अभी मैं सुन रहा हूँ
अपना सबसे प्रिय राग़
बाद में देखूँगा, कहाँ लगी है आग
अभी मैं निरख रहा हूँ
अपना प्रिय रक्तवर्णी प्रसून
बाद में देखूँगा
कहाँ बह रहा है सड़क पर ख़ून
अभी मैं सीख़ रहा हूँ
भावी प्रेयसी से निष्कलुष प्यार
बाद में देखूँगा
कहाँ किसके साथ हुआ बलात्कार
अभी मैं निश्चेत हूँ
एक अधूरे चुंबन की स्मृति के निर्वात में
खुली हवा में आऊँगा तो ज़रूर बताऊँगा
दूरी कितनी बढ़ गई है भूख और भात में
अभी ज़रा गीले हैं मेरे कैनवास के रंग
सूख जाने दो फिर देखूँगा
कहाँ-कहाँ छिड़ी है जम्हूरियत की जंग
अभी मैं सूजन के सपने में हूँ
अभी मैं दुनिया में नहीं, अपने में हैं
अभी में कविता रच रहा है
इसलिए कुछ कहने से बच रहा हूँ।
abhi main sun raha hoon
apna sabse priy raagh
baad mein dekhunga, kahan lagi hai aag
abhi main nirakh raha hoon
apna priy raktvarni prasun
baad mein dekhunga
kahan bah raha hai saDak par khoon
abhi main seekh raha hoon
bhavi preyasi se nishkalush pyaar
baad mein dekhunga
kahan kiske saath hua balatkar
abhi main nishchet hoon
ek adhure chumban ki smriti ke nirvat mein
khuli hava mein auunga to zarur bataunga
duri kitni baDh gai hai bhookh aur bhaat men
abhi zara gile hain mere kainvas ke rang
sookh jane do phir dekhunga
kahan kahan chhiDi hai jamhuriyat ki jang
abhi main sujan ke sapne mein hoon
abhi main duniya mein nahin, apne mein hain
abhi mein kavita rach raha hai
isliye kuch kahne se bach raha hoon.
abhi main sun raha hoon
apna sabse priy raagh
baad mein dekhunga, kahan lagi hai aag
abhi main nirakh raha hoon
apna priy raktvarni prasun
baad mein dekhunga
kahan bah raha hai saDak par khoon
abhi main seekh raha hoon
bhavi preyasi se nishkalush pyaar
baad mein dekhunga
kahan kiske saath hua balatkar
abhi main nishchet hoon
ek adhure chumban ki smriti ke nirvat mein
khuli hava mein auunga to zarur bataunga
duri kitni baDh gai hai bhookh aur bhaat men
abhi zara gile hain mere kainvas ke rang
sookh jane do phir dekhunga
kahan kahan chhiDi hai jamhuriyat ki jang
abhi main sujan ke sapne mein hoon
abhi main duniya mein nahin, apne mein hain
abhi mein kavita rach raha hai
isliye kuch kahne se bach raha hoon.
स्रोत :
रचनाकार : अरुण आदित्य
प्रकाशन : बया, जनवरी-मार्च, 2024
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.