एक देश की
संसद को कीचड़ के
बीचों-बीच होना चाहिए
ताकि अपने हर अभिभाषण के बाद
संसद से निकलते ही एक राजनेता को
पुल बनाना याद रहे।
एक लोकतांत्रिक कविता को
गाँव, मोहल्ले और शहर के
हर चौराहे पर होना चाहिए
ताकि जनता के बीच
आज़ादी और तानाशाही का
अंतर स्पष्ट रहें।
एक लेखक को
प्रतिपक्ष की कविता लिखने की
समझ होनी चाहिए
ताकि सिर्फ़ किताबों के बीच न सिमटकर
वो मंचों की प्रसिद्धि से परे
जन-जन की आवाज़ बन सके
एक नागरिक को
अपने हक़ की आवाज़ का
बोध होना चाहिए
ताकि इस काग़ज़ी जम्हूरियत में
सभ्य नागरिक बने का
अभिनय करते हुए
वो सिर्फ़ मौन जीवन बिताकर न मरें।
ek desh ki
sansad ko kichaD ke
bichon beech hona chahiye
taki apne har abhibhashan ke baad
sansad se nikalte hi ek rajaneta ko
pul banana yaad rahe.
ek loktantrik kavita ko
gaanv, mohalle aur shahr ke
har chaurahe par hona chahiye
taki janta ke beech
azadi aur tanashahi ka
antar aspasht rahen.
ek lekhak ko
pratipaksh ki kavita likhne ki
samajh honi chahiye
taki sirf kitabon ke beech na simatkar
wo manchon ki prasiddhi se pare
jan jan ki avaz ban sake
ek nagarik ko
apne hak ki avaz ka
bodh hona chahiye
taki is kaghazi jamhuriyat men
sabhya nagarik bane ka
abhinay karte hue
wo sirf maun jivan bitakar na maren.
ek desh ki
sansad ko kichaD ke
bichon beech hona chahiye
taki apne har abhibhashan ke baad
sansad se nikalte hi ek rajaneta ko
pul banana yaad rahe.
ek loktantrik kavita ko
gaanv, mohalle aur shahr ke
har chaurahe par hona chahiye
taki janta ke beech
azadi aur tanashahi ka
antar aspasht rahen.
ek lekhak ko
pratipaksh ki kavita likhne ki
samajh honi chahiye
taki sirf kitabon ke beech na simatkar
wo manchon ki prasiddhi se pare
jan jan ki avaz ban sake
ek nagarik ko
apne hak ki avaz ka
bodh hona chahiye
taki is kaghazi jamhuriyat men
sabhya nagarik bane ka
abhinay karte hue
wo sirf maun jivan bitakar na maren.
स्रोत :
रचनाकार : हिमांक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.