कभी वह उतरती है बिंब में
कभी कोरे किसी शब्द में
शव के लिए सहेज दिए गए कपड़े-सी
आस्था—
अनास्था के बे-अंत जाल बुनती हुई
वनस्पतियों के घनत्व में
क्या यह सच है कि भूख के शब्द में मनुष्य ही का बिंब है
कि प्यास के शब्द में
वे माटी और कंकरों को उबाल कर पीते हैं
वे हड्डियों के आटे की रोटी बेलते हैं
वे पेड़ में पड़े कीड़े और जल को सुड़क लेते हैं चोंच से
वे मुँह बाए गोदुए में प्रतीक्षा करते पंखहीन शिशुओं को
पूरी पृथ्वी को ढाँप देने कोई एक चादर बुनता है
और प्रतीक्षा करता है—
(कोई नहीं जानता
किसी को नहीं पता इस फ़न का
किसी ने
कभी
कुछ भी सीखा नहीं।)
kabhi wo utarti hai bimb mein
kabhi kore kisi shabd mein
shau ke liye sahej diye gaye kapDe si
astha—
anastha ke be ant jal bunti hui
wanaspatiyon ke ghanatw mein
kya ye sach hai ki bhookh ke shabd mein manushya hi ka bimb hai
ki pyas ke shabd mein
we mati aur kankron ko ubaal kar pite hain
we haDDiyon ke aate ki roti belte hain
we peD mein paDe kiDe aur jal ko suDak lete hain chonch se
we munh baye godue mein pratiksha karte pankhhin shishuon ko
puri prithwi ko Dhanp dene koi ek chadar bunta hai
aur pratiksha karta hai—
(koi nahin janta
kisi ko nahin pata is fan ka
kisi ne
kabhi
kuch bhi sikha nahin )
kabhi wo utarti hai bimb mein
kabhi kore kisi shabd mein
shau ke liye sahej diye gaye kapDe si
astha—
anastha ke be ant jal bunti hui
wanaspatiyon ke ghanatw mein
kya ye sach hai ki bhookh ke shabd mein manushya hi ka bimb hai
ki pyas ke shabd mein
we mati aur kankron ko ubaal kar pite hain
we haDDiyon ke aate ki roti belte hain
we peD mein paDe kiDe aur jal ko suDak lete hain chonch se
we munh baye godue mein pratiksha karte pankhhin shishuon ko
puri prithwi ko Dhanp dene koi ek chadar bunta hai
aur pratiksha karta hai—
(koi nahin janta
kisi ko nahin pata is fan ka
kisi ne
kabhi
kuch bhi sikha nahin )
स्रोत :
रचनाकार : तेजी ग्रोवर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.