यहाँ पूजा के पवित्र कटोरों को गला कर
सोने चाँदी के हेल्मेट और तलवारें बनाई गई हैं।
बाल्टियों बेचा गया है यीशु का ख़ून—
उनकी सलीब और कीलें
बर्छियों और ढालों में तब्दील हो गई हैं,
तब भी प्रभु यीशु धैर्य धारण किए हुए!
लेकिन दुबारा आने नहीं देना है उन्हें
इन इलाक़ों में हमारे बीच,
यहाँ रोम में
चूँकि उनकी चमड़ी तक बेच दी गई है
ख़ून की फुहार सितारों तक जाएगी।
किसी भी अच्छे काम के सारे रास्ते बंद हैं यहाँ,
अगर कभी किसी निधि से वंचित रह जाने की टीस
मन में उठी हो
तो अब आया है उसका वक़्त—
यहाँ मैं बेकार कर दिया गया हूँ
और जो शख़्स चोगा धारण किए है
वही कर सकता है फ़क़त
मेदुसा ने जो मारितॉनिया में किया
लेकिन यदि ऊपर वाले को दैन्यता ही रास आती हो
कौन करेगा हमारा पुनरुद्धार—
यदि कोई दूसरा मानक उस दूसरे जीवन की हत्या कर देता है?
yahan puja ke pavitra katoron ko gala kar
sone chandi ke helmet aur talvaren banai gai hain.
baltiyon becha gaya hai yishu ka khoon—
unki salib aur kilen
barchhiyon aur Dhalon mein tabdil ho gai hain,
tab bhi prabhu yishu dhairya dharan kiye hue!
lekin dubara aane nahin dena hai unhen
in ilaqon mein hamare beech,
yahan rom men
chunki unki chamDi tak bech di gai hai
khoon ki phuhar sitaron tak jayegi.
kisi bhi achchhe kaam ke sare raste band hain yahan,
agar kabhi kisi nidhi se vanchit rah jane ki tees
man mein uthi ho
to ab aaya hai uska vaqt—
yahan main bekar kar diya gaya hoon
aur jo shakhs choga dharan kiye hai
vahi kar sakta hai faqat
medusa ne jo maritauniya mein kiya
lekin yadi uupar vale ko dainyta hi raas aati ho
kaun karega hamara punruddhar—
yadi koi dusra manak us dusre jivan ki hatya kar deta hai?
yahan puja ke pavitra katoron ko gala kar
sone chandi ke helmet aur talvaren banai gai hain.
baltiyon becha gaya hai yishu ka khoon—
unki salib aur kilen
barchhiyon aur Dhalon mein tabdil ho gai hain,
tab bhi prabhu yishu dhairya dharan kiye hue!
lekin dubara aane nahin dena hai unhen
in ilaqon mein hamare beech,
yahan rom men
chunki unki chamDi tak bech di gai hai
khoon ki phuhar sitaron tak jayegi.
kisi bhi achchhe kaam ke sare raste band hain yahan,
agar kabhi kisi nidhi se vanchit rah jane ki tees
man mein uthi ho
to ab aaya hai uska vaqt—
yahan main bekar kar diya gaya hoon
aur jo shakhs choga dharan kiye hai
vahi kar sakta hai faqat
medusa ne jo maritauniya mein kiya
lekin yadi uupar vale ko dainyta hi raas aati ho
kaun karega hamara punruddhar—
yadi koi dusra manak us dusre jivan ki hatya kar deta hai?
स्रोत :
पुस्तक : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 412)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : माइकेल ऐंजेलो
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.