अस्पष्ट दु:खों की कोई भाषा नहीं होती
शायद मौन भी नहीं!
उसी प्रकार
अस्वीकृत मन से होने वाले
विवाह का प्राथमिक उत्तर होना चाहिए—“नहीं ”
चाहता हूँ समाज समझे कि
तेरहवें बरस की उम्र में दौड़ते पैरों के अनगिनत स्वप्नों को
सिंदूर की लालिमा की चमक नहीं चाहिए
आख़िर इनके पुष्प जैसे हृदयों को
सनाई के फूल की भाँति पकौड़े क्यों तलना चाह रहे?
अबूझ के छलावे में होते
उस लड़की के ब्याह के विरुद्ध
क्यों नहीं बोल रही है मंडप के पास खड़ी स्त्रियाँ
सुनो तुम!
कहीं अपराध बोध के दोष से
कुम्हलाई दुर्गंधीत, देह की तरह
विचारने पर विवश न हो जाओ...!
मिट्टी के शिल्प से बने
नौ-घर के चिन्हों में समा लेती थी वो
एक पैर से मापा जा सकने वाला संपूर्ण संसार
किंतु माँ का अस्थिर मन
उससे बार-बार पूछता है—
अंतस की पीड़ा से भागते हुए उसने
छत से इतनी ऊँची छलाँग कैसे लगा दी?
aspasht duhkhon ki koi bhasha nahin hoti
shayad maun bhi nahin!
usi prakar
asvikrit man se hone vale
vivah ka prathamik uttar hona chahiye—“nahin ”
chahta hoon samaj samjhe ki
terahven baras ki umr mein dauDte pairon ke anaginat svapnon ko
sindur ki lalima ki chamak nahin chahiye
akhir inke pushp jaise hridyon ko
sanai ke phool ki bhanti pakauDe kyon talna chaah rahe?
abujh ke chhalave mein hote
us laDki ke byaah ke viruddh
kyon nahin bol rahi hai manDap ke paas khaDi striyan
suno tum!
kahin apradh bodh ke dosh se
kumhlai durgandhit, deh ki tarah
vicharne par vivash na ho jao. . . !
mitti ke shilp se bane
nau ghar ke chinhon mein sama leti thi wo
ek pair se mapa ja sakne vala sampurn sansar
kintu maan ka asthir man
usse baar baar puchhta hai—
antas ki piDa se bhagte hue usne
chhat se itni unchi chhalang kaise laga dee?

स्रोत :
रचनाकार : मनीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.