हवा में बिल्कुल हवा में उगा पेड़
बिल्कुल हवा में ज़मीन में नहीं
बादलों पर झरते हैं उसके पत्ते
लेकिन जड़ों को चाहिए एक आधार और वे
किसी दोपहर सड़क पर चलते एक आदमी के
शरीर में उतर जाती हैं
उसके साथ उसके घर जाती हैं जड़ें
और फैलती हैं दीवारों में भी
आदमी झरता जाता है दीवारों के पलस्तर-सा
जब भी बारिश होती है
उसके स्वप्नों में पत्ते झरते हैं बादलों से
जब दोपहर में आदमी चला जाता है शहर में खपने
तब एक फल गिरता है आँगन में
सुनसान धूप में
और उसके सोते हुए बच्चे की आवाज़ खाने दौड़ती है उसे
hawa mein bilkul hawa mein uga peD
bilkul hawa mein zamin mein nahin
badlon par jharte hain uske patte
lekin jaDon ko chahiye ek adhar aur we
kisi dopahar saDak par chalte ek adami ke
sharir mein utar jati hain
uske sath uske ghar jati hain jaDen
aur phailti hain diwaron mein bhi
adami jharta jata hai diwaron ke palastar sa
jab bhi barish hoti hai
uske swapnon mein patte jharte hain badlon se
jab dopahar mein adami chala jata hai shahr mein khapne
tab ek phal girta hai angan mein
sunsan dhoop mein
aur uske sote hue bachche ki awaz khane dauDti hai use
hawa mein bilkul hawa mein uga peD
bilkul hawa mein zamin mein nahin
badlon par jharte hain uske patte
lekin jaDon ko chahiye ek adhar aur we
kisi dopahar saDak par chalte ek adami ke
sharir mein utar jati hain
uske sath uske ghar jati hain jaDen
aur phailti hain diwaron mein bhi
adami jharta jata hai diwaron ke palastar sa
jab bhi barish hoti hai
uske swapnon mein patte jharte hain badlon se
jab dopahar mein adami chala jata hai shahr mein khapne
tab ek phal girta hai angan mein
sunsan dhoop mein
aur uske sote hue bachche ki awaz khane dauDti hai use
स्रोत :
पुस्तक : दो बारिशों के बीच (पृष्ठ 10)
रचनाकार : राजेंद्र धोड़पकर
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.