हर इतवार यही लगता है
देरे से आँख खुली है मेरी,
या सूरज जल्दी निकला है
जागते ही मैं थोड़ी देर को हैराँ-सा रह जाता हूँ
बच्चों की आवाज़ें हैं न बस का शोर
गिरजे का घंटा क्यों इतनी देर से बजता जाता है
क्या आग लगी है?
चाय...?
चाय नहीं पूछी ‘आया’ ने?
उठते-उठते देखता हूँ जब,
आज अख़बार की रद्दी कुछ ज़्यादा है
और अख़बार के खोंचे में रक्खी ख़बरों से
गर्म धुआँ कुछ कम उठता है...
याद आता है...
अफ़्फ़ो! आज इतवार का दिन है। छुट्टी है!
ट्रेन में राज़ अख़बार के पढ़ने की कुछ ऐसी हुई है आदत
ठहरीं सतरें भी अख़बार की, हिल-हिल के पढ़नी पड़ती हैं!
har itwar yahi lagta hai
dere se ankh khuli hai meri,
ya suraj jaldi nikla hai
jagte hi main thoDi der ko hairan sa rah jata hoon
bachchon ki awazen hain na bus ka shor
girje ka ghanta kyon itni der se bajta jata hai
kya aag lagi hai?
chay ?
chay nahin puchhi ‘aya’ ne?
uthte uthte dekhta hoon jab,
aj akhbar ki raddi kuch zyada hai
aur akhbar ke khonche mein rakkhi khabron se
garm dhuan kuch kam uthta hai
yaad aata hai
affo! aaj itwar ka din hai chhutti hai!
train mein raaz akhbar ke paDhne ki kuch aisi hui hai aadat
thahrin satren bhi akhbar ki, hil hil ke paDhani paDti hain!
har itwar yahi lagta hai
dere se ankh khuli hai meri,
ya suraj jaldi nikla hai
jagte hi main thoDi der ko hairan sa rah jata hoon
bachchon ki awazen hain na bus ka shor
girje ka ghanta kyon itni der se bajta jata hai
kya aag lagi hai?
chay ?
chay nahin puchhi ‘aya’ ne?
uthte uthte dekhta hoon jab,
aj akhbar ki raddi kuch zyada hai
aur akhbar ke khonche mein rakkhi khabron se
garm dhuan kuch kam uthta hai
yaad aata hai
affo! aaj itwar ka din hai chhutti hai!
train mein raaz akhbar ke paDhne ki kuch aisi hui hai aadat
thahrin satren bhi akhbar ki, hil hil ke paDhani paDti hain!
स्रोत :
पुस्तक : पाजी नज़्में (पृष्ठ 64)
रचनाकार : गुलज़ार
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.