नन्ही परी का सिर सहलाता हूँ
वह मेरी हथेली
अपनी उँगलियों में लपेट लेती है
मुझे लगता,
ईश्वर ने मेरा हाथ थामा है
नि:शंक सोते देखता हूँ जब पत्नी को
तो पृथ्वी नीम नींद-सी शांत लगती है
जबकि पलकों में उसके
घर की सारी बलाएँ क़ैद रहती हैं
इस समय
ईश्वर नींद से गुज़र रहा होता है
जब माँ को सोते हुए देखता हूँ
तो लगता है
ईश्वर नींद में भी
सबके लिए उतना ही चिंतित है
जीवन में समस्त ऊर्जा-स्रोत
जिन-जिन स्त्रियों से मिलता रहा
उनकी जागती-सोती आँखों से
मैंने प्रार्थनाओं से भरा स्वर्ग देखा है
ईश्वर मिथक नहीं सच है
और आपके इर्द-गिर्द हाथ थामे
यक़ीन दिलाता है कि
ईश्वर कोई पुरुष नहीं होता।
nannhi pari ka sir sahlata hoon
wo meri hatheli
apni ungliyon mein lapet leti hai
mujhe lagta,
ishvar ne mera haath thama hai
nihshank sote dekhta hoon jab patni ko
to prithvi neem neend si shaant lagti hai
jabki palkon mein uske
ghar ki sari balayen qaid rahti hain
is samay
ishvar neend se guzar raha hota hai
jab maan ko sote hue dekhta hoon
to lagta hai
ishvar neend mein bhi
sabke liye utna hi chintit hai
jivan mein samast urja srot
jin jin istriyon se milta raha
unki jagti soti ankhon se
mainne prarthnaon se bhara svarg dekha hai
ishvar mithak nahin sach hai
aur aapke ird gird haath thame
yaqin dilata hai ki
ishvar koi purush nahin hota.
nannhi pari ka sir sahlata hoon
wo meri hatheli
apni ungliyon mein lapet leti hai
mujhe lagta,
ishvar ne mera haath thama hai
nihshank sote dekhta hoon jab patni ko
to prithvi neem neend si shaant lagti hai
jabki palkon mein uske
ghar ki sari balayen qaid rahti hain
is samay
ishvar neend se guzar raha hota hai
jab maan ko sote hue dekhta hoon
to lagta hai
ishvar neend mein bhi
sabke liye utna hi chintit hai
jivan mein samast urja srot
jin jin istriyon se milta raha
unki jagti soti ankhon se
mainne prarthnaon se bhara svarg dekha hai
ishvar mithak nahin sach hai
aur aapke ird gird haath thame
yaqin dilata hai ki
ishvar koi purush nahin hota.
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.