समय की धार पर खड़ा
बेआवाज़ वक़्त
गालों पर नमक का अक्स लिए
गुज़रे लम्हों का अवशेष है
प्रतीक्षा कुम्हला जाती है
और फड़फड़ाती चिंदियाँ
रोशनदान से बाहर झाँकती रहती हैं
मद्धम रोशनी में
इंतज़ार इतना बोझिल है
कि झुके आधे कटे चाँद को
पलकों से बाँधे रखता है
मुझे बाईं करवट सोना पसंद है
और उसे दाईं
हमारे बीच बहती है
गुम हो चुकी नदी रात भर
नींद के हाशिए पर
चहलक़दमी करते-करते
रात तो गुज़र जाती है
बस हमारी सुबह नहीं आती
और स्वप्न का छिलका
एक उतरन बन
उँगलियों में फँसा रह जाता है
samay ki dhaar par khaDa
beawaz waqt
galon par namak ka aks liye
guzre lamhon ka awshesh hai
pratiksha kumhla jati hai
aur faDfaDati chindiyan
roshandan se bahar jhankti rahti hain
maddham roshni mein
intzar itna bojhil hai
ki jhuke aadhe kate chand ko
palkon se bandhe rakhta hai
mujhe bain karwat sona pasand hai
aur use dain
hamare beech bahti hai
gum ho chuki nadi raat bhar
neend ke hashiye par
chahalaqadmi karte karte
raat to guzar jati hai
bus hamari subah nahin aati
aur swapn ka chhilka
ek utran ban
ungliyon mein phansa rah jata hai
samay ki dhaar par khaDa
beawaz waqt
galon par namak ka aks liye
guzre lamhon ka awshesh hai
pratiksha kumhla jati hai
aur faDfaDati chindiyan
roshandan se bahar jhankti rahti hain
maddham roshni mein
intzar itna bojhil hai
ki jhuke aadhe kate chand ko
palkon se bandhe rakhta hai
mujhe bain karwat sona pasand hai
aur use dain
hamare beech bahti hai
gum ho chuki nadi raat bhar
neend ke hashiye par
chahalaqadmi karte karte
raat to guzar jati hai
bus hamari subah nahin aati
aur swapn ka chhilka
ek utran ban
ungliyon mein phansa rah jata hai
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.