इंसानी उँगलियाँ पर
कैक्टस के जंगल उग रहे हैं
और धरा का सीना
तितलियों के मृतदेह से
सना पड़ा है
बिल्ली के माथे पर
दीया रखकर
दुनिया में उजाले का
भ्रम पैदा किया जा रहा है
बुद्ध के उपदेश
उग रहे है दिवारों पर
और प्रयोगशाला में
बारुद के रसायन
घोले जा रहे है
पाठशालाओं की
इमारतें जितनी
महँगी होती जा रहीं हैं
उतने ही तेज़ी से
नैतिकता गर्त में जा रही है
सभ्यता की सड़के
निर्जन होती जा रही है
और असभ्यता के
महामार्ग रोज़
तारकोल से चमकाए
जा रहे हैं
समय की जेब
स्वार्थियों के
कमीज़ पर इंसानी
लार से चिपकाई
जा रही है
और उसी बीच
उदासियों की टोकरी
जुगनू की रोशनी में
लिप रही है एक औरत
भरोसे की गिली मिट्टी लेकर।
insani ungliyan par
cactus ke jangal ug rahe hain
aur dhara ka sina
titliyon ke mritdeh se
sana paDa hai
billi ke mathe par
diya rakhkar
duniya mein ujale ka
bhram paida kiya ja raha hai
buddh ke updesh
ug rahe hai divaron par
aur prayogashala men
barud ke rasayan
ghole ja rahe hai
pathshalaon ki
imaraten jitni
mahngi hoti ja rahin hain
utne hi tezi se
naitikta gart mein ja rahi hai
sabhyata ki saDke
nirjan hoti ja rahi hai
aur asabhyata ke
mahamarg roz
tarkol se chamkaye
ja rahe hain
samay ki jeb
svarthiyon ke
kamiz par insani
laar se chipkai
ja rahi hai
aur usi beech
udasiyon ki tokari
jugnu ki roshni men
lip rahi hai ek aurat
bharose ki gili mitti lekar.
insani ungliyan par
cactus ke jangal ug rahe hain
aur dhara ka sina
titliyon ke mritdeh se
sana paDa hai
billi ke mathe par
diya rakhkar
duniya mein ujale ka
bhram paida kiya ja raha hai
buddh ke updesh
ug rahe hai divaron par
aur prayogashala men
barud ke rasayan
ghole ja rahe hai
pathshalaon ki
imaraten jitni
mahngi hoti ja rahin hain
utne hi tezi se
naitikta gart mein ja rahi hai
sabhyata ki saDke
nirjan hoti ja rahi hai
aur asabhyata ke
mahamarg roz
tarkol se chamkaye
ja rahe hain
samay ki jeb
svarthiyon ke
kamiz par insani
laar se chipkai
ja rahi hai
aur usi beech
udasiyon ki tokari
jugnu ki roshni men
lip rahi hai ek aurat
bharose ki gili mitti lekar.
स्रोत :
रचनाकार : सरिता सैल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.