मेघ राग से नंदिता यह धूसर नगरी
आज छाया के विलास से क्लांत है।
आज उसके आकाश में मेघ छाए हैं
उनकी काली छाया राजपथ पर पड़ रही है।
इस नगरी का वही आकाश क्या
अदमित विपुल वेदना से बहुविध रो रहा है।
घर-घर में अयुत नटियों के पैरों में क्या उसके वही दर्दीले
नूपुर बज उठते हैं।
आज तुम्हारी चंद्रशाला में
नर्त्तक मयूर तुम्हारे केश-मेघों को देखकर क्या केका-ध्वनि करता है?
सारंगी के तारों पर तुम क्या मेघ-नाद झंकृत करते हो
वज्राघात से दूर भूमि पर लौट पड़ती है वृद्ध वनस्पति
हे लावण्यमयी, क्या तुम
नत मस्तक से जूड़ा खोलकर
फेंककर भूमि पर रक्त करबी
करज से काटती हो त्रिरेखा
क्या मैं आज बनूँगा मेघ अभ्रकला मेघ
ऐश्वर्य विलासिनी इस नगरी की बहु हर्म्य-शिखाओं पर
बैठकर क्या मैं रोऊँ?
तुम्हारे अश्रु-नीर की धारा के साथ समताल रखकर
क्या मैं कज्जल नीर बहाऊँ?
अपने को नि:शेष कर क्या मैं वहाँ जाऊँगा तुम्हारे वातायन के नीचे
वेदनार्त्त अश्रु के समान?
तब मैं आज मेघ बनूँगा, इंद्रमेघ
नगरी की सारी गंदगी लेकर
मैं आज बह जाऊँगा
काली छाया से घिरे हुए राजुपथ पर
आकाश आकाश में आज बनूँगा इंद्रमेघ।
megh raag se nandita ye dhusar nagri
aaj chhaya ke vilas se klaant hai.
aaj uske akash mae megh chhaye hai
unki kali chhaya rajapath par paD rahi hai.
is nagri ka vahi akash kya
admit vipul vedna se bahu vidh ro raha hai.
ghar ghar mein ayut natiyon ke pairon mein kya uske vahi dardile
nupur baj uthte hain.
aaj tumhari chandrashala mein
narttak mayur tumhare kesh meghon ko dekhkar kya keka dhvani karta hai?
sarangi ke taron par tum kya megh naad jhankrit karte ho
vajraghat se door bhumi par laut paDti hai vriddh vanaspati
he lavanyamyi, kya tum
nat mastak sen juDa kholkar
phenkkar bhumi par rakt karbi
karaj se katti ho trirekha
kya main aaj banunga megh abhrakla megh
aidrvarya vilasini is nagri ki bahu harmy shikhao par
baithkar kya mein rou
tumhare ashru neer ki dhara ke saath samtal rakhkar
kya mein kajjal neer bahaun
apne ko nihshesh kar kya main vahan jaunga tumhare vatayan ke niche
vednart ashru ke saman
tab main aaj megh banunga, indrmegh
nagri ki sari gandgi lekar
main aaj bah jaunga
kali chhaya se ghire hue rajupath par
akash akash mein aaj banunga indrmegh.
megh raag se nandita ye dhusar nagri
aaj chhaya ke vilas se klaant hai.
aaj uske akash mae megh chhaye hai
unki kali chhaya rajapath par paD rahi hai.
is nagri ka vahi akash kya
admit vipul vedna se bahu vidh ro raha hai.
ghar ghar mein ayut natiyon ke pairon mein kya uske vahi dardile
nupur baj uthte hain.
aaj tumhari chandrashala mein
narttak mayur tumhare kesh meghon ko dekhkar kya keka dhvani karta hai?
sarangi ke taron par tum kya megh naad jhankrit karte ho
vajraghat se door bhumi par laut paDti hai vriddh vanaspati
he lavanyamyi, kya tum
nat mastak sen juDa kholkar
phenkkar bhumi par rakt karbi
karaj se katti ho trirekha
kya main aaj banunga megh abhrakla megh
aidrvarya vilasini is nagri ki bahu harmy shikhao par
baithkar kya mein rou
tumhare ashru neer ki dhara ke saath samtal rakhkar
kya mein kajjal neer bahaun
apne ko nihshesh kar kya main vahan jaunga tumhare vatayan ke niche
vednart ashru ke saman
tab main aaj megh banunga, indrmegh
nagri ki sari gandgi lekar
main aaj bah jaunga
kali chhaya se ghire hue rajupath par
akash akash mein aaj banunga indrmegh.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 81)
रचनाकार : विनोद चंद्र नायक
प्रकाशन : साहित्य अकादमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.