तुम धरती पर पर्वत की तरह करवट लेटना
तुम पर नदियाँ चाहना से भरी देह लिए इठलाती बहेंगी
तुम भव्यता और मामूलीपन की दाँतकाटी दोस्ती में बदल जाना
तुम पर लोक कथाएँ अपनी गीली साड़ियाँ सुखाएँगी
तुम रात के आकाश का नक्षत्री विस्तार हो जाओ
दिशाज्ञान के जिज्ञासु तुम्हारा सत्कार करें
तुम पानी की वह बूँद होना
जो कुमारसंभव की तपस्यारत पार्वती की पलकों पर गिरी
जिसने माथे के दर्प से हृदय के प्रेम तक की यात्रा पूरी की
तुम चरम तपस्या में की गई वह अदम्य कामना होना
अगर होना ही है तो लता का वह हिस्सा होना
जो एक तरफ़ मूर्च्छा से उठी वसंतसेना थामती है
दूसरी तरफ़ भिक्षु संवाहक
तुम आसक्ति और संन्यास की संधि होना
तुम्हारी निश्छल आँखों में संध्या तारा बनकर फूटे बेला की कलियाँ
नेह से भर आए स्वर में प्राप्तियों की मचलती मछलियाँ गोता लगाएँ
तुम मन की ऊँची उड़ान से ऊब कर टूटा पंख बनना
कोई आदिवासिन नृत्यांगना तुम्हें जूड़े में खोंसेगी
तुम उसकी क़दमताल पर थिरकना
जो तुम्हें माथे सजाए
उसकी चाल की लय पर डूबना-उबरना।
tum dharti par parwat ki tarah karwat letana
tum par nadiyan chahna se bhari deh liye ithlati bahengi
tum bhawyata aur mamulipan ki dantkati dosti mein badal jana
tum par lok kathayen apni gili saDiyan sukhayengi
tum raat ke akash ka nakshatri wistar ho jao
dishagyan ke jigyasu tumhara satkar karen
tum pani ki wo boond hona
jo kumarsambhaw ki tapasyarat parwati ki palkon par giri
jisne mathe ke darp se hirdai ke prem tak ki yatra puri ki
tum charam tapasya mein ki gai wo adamy kamna hona
agar hona hi hai to lata ka wo hissa hona
jo ek taraf murchchha se uthi wasantsena thamti hai
dusri taraf bhikshu sanwahak
tum asakti aur sannyas ki sandhi hona
tumhari nishchhal ankhon mein sandhya tara bankar phute bela ki kaliyan
neh se bhar aaye swar mein praptiyon ki machalti machhliyan gota lagayen
tum man ki unchi uDan se ub kar tuta pankh banna
koi adiwasin nrityangna tumhein juDe mein khonsegi
tum uski qadamtal par thirakna
jo tumhein mathe sajaye
uski chaal ki lai par Dubna ubarna

स्रोत :
रचनाकार : लवली गोस्वामी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.