होना तो ये चाहिए था
मन में बहती
प्रेम करुणा और दया की नदी
और जीवन एक उत्सव होता
होना तो ये चाहिए था
कि सब के साथ न्याय होता
जो कोई अकेला पड़ता
चार लोग साथ खड़े होते उसके
मुश्किल हल हो जाती
होना तो ये चाहिए था
न्याय, सत्य और तथ्य के पीछे की
मंशा भावना और आवश्यकता
तक पहुँच पाता
अपराधी के भी मनुष्य को
ख़ारिज नहीं किया जाता
होना तो ये चाहिए था
कि वचन का मूल्य रहता
आदमी स्वार्थ से ऊपर
संबंध को रखता
होना तो ये चाहिए था
आँखों में मन का सच दिखता
झूठा भी इतना तो सच्चा होता
होना तो ये चाहिए था
जीत से ज़्यादा महत्व
सही से खेलने को दिया जाता
पराजय विजय तक पहुँचने का
एक माध्यम भर समझा जाता
होना तो ये चाहिए था
एक का आँसू
दूसरे के सुख का जायका
बढ़ाने के काम नहीं आता
होना तो ये चाहिए था
श्रम का स्वेद धरा पर टपकने से
जीवन बगिया में हरियाली उगती
होना तो ये चाहिए था
आख़िरी पाँत में खड़े लोगों के
दिन बहुरने की आशा उतनी ही प्रबल रहती
जितनी एक धनाढ्य के कुबेर बनने की संभावना
होना तो ये चाहिए था
आदमी सिर्फ़ काम से जाना जाता
हर काम का
काम की तरह मूल्यांकन होता
होना तो ये चाहिए था
प्रतिरोध को हथियार उठाने को विवश नहीं होना पड़ता
होना तो ये चाहिए था
हर भाव विचार को अभिव्यक्ति मिलती
कंठ में रूँधे स्वर तक को सुना जाता
होना तो ये चाहिए था
भूखे की रोटी
बीमार के औषध
असहाय की लाठी
जुटाने की फ़िक्र में
राजा के रातों की नींद उखड़ी रहती।
hona to ye chahiye tha
man mein bahti
prem karuna aur daya ki nadi
aur jivan ek utsav hota
hona to ye chahiye tha
ki sab ke saath nyaay hota
jo koi akela paDta
chaar log saath khaDe hote uske
mushkil hal ho jati
hona to ye chahiye tha
nyaay, satya aur tathya ke pichhe ki
mansha bhavna aur avashyakta
tak pahunch pata
apradhi ke bhi manushya ko
kharij nahin kiya jata
hona to ye chahiye tha
ki vachan ka mulya rahta
adami svaarth se uupar
sambandh ko rakhta
hona to ye chahiye tha
ankhon mein man ka sach dikhta
jhutha bhi itna to sachcha hota
hona to ye chahiye tha
jeet se zyada mahatv
sahi se khelne ko diya jata
parajay vijay tak pahunchne ka
ek madhyam bhar samjha jata
hona to ye chahiye tha
ek ka ansu
dusre ke sukh ka jayaka
baDhane ke kaam nahin aata
hona to ye chahiye tha
shram ka sved dhara par tapakne se
jivan bagiya mein hariyali ugti
hona to ye chahiye tha
akhiri paant mein khaDe logon ke
din bahurne ki aasha utni hi prabal rahti
jitni ek dhanaDhya ke kuber banne ki sambhavna
hona to ye chahiye tha
adami sirf kaam se jana jata
har kaam ka
kaam ki tarah mulyankan hota
hona to ye chahiye tha
pratirodh ko hathiyar uthane ko vivash nahin hona paDta
hona to ye chahiye tha
har bhaav vichar ko abhivyakti milti
kanth mein rundhe svar tak ko suna jata
hona to ye chahiye tha
bhukhe ki roti
bimar ke aushadh
ashay ki lathi
jutane ki fikr mein
raja ke raton ki neend ukhDi rahti.
hona to ye chahiye tha
man mein bahti
prem karuna aur daya ki nadi
aur jivan ek utsav hota
hona to ye chahiye tha
ki sab ke saath nyaay hota
jo koi akela paDta
chaar log saath khaDe hote uske
mushkil hal ho jati
hona to ye chahiye tha
nyaay, satya aur tathya ke pichhe ki
mansha bhavna aur avashyakta
tak pahunch pata
apradhi ke bhi manushya ko
kharij nahin kiya jata
hona to ye chahiye tha
ki vachan ka mulya rahta
adami svaarth se uupar
sambandh ko rakhta
hona to ye chahiye tha
ankhon mein man ka sach dikhta
jhutha bhi itna to sachcha hota
hona to ye chahiye tha
jeet se zyada mahatv
sahi se khelne ko diya jata
parajay vijay tak pahunchne ka
ek madhyam bhar samjha jata
hona to ye chahiye tha
ek ka ansu
dusre ke sukh ka jayaka
baDhane ke kaam nahin aata
hona to ye chahiye tha
shram ka sved dhara par tapakne se
jivan bagiya mein hariyali ugti
hona to ye chahiye tha
akhiri paant mein khaDe logon ke
din bahurne ki aasha utni hi prabal rahti
jitni ek dhanaDhya ke kuber banne ki sambhavna
hona to ye chahiye tha
adami sirf kaam se jana jata
har kaam ka
kaam ki tarah mulyankan hota
hona to ye chahiye tha
pratirodh ko hathiyar uthane ko vivash nahin hona paDta
hona to ye chahiye tha
har bhaav vichar ko abhivyakti milti
kanth mein rundhe svar tak ko suna jata
hona to ye chahiye tha
bhukhe ki roti
bimar ke aushadh
ashay ki lathi
jutane ki fikr mein
raja ke raton ki neend ukhDi rahti.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.