एक प्राचीन शहर
ऊँची सुदृढ़ प्राचीर जिसके चारों ओर
ज्यों आकाश को बाँह में उठाए हो
द्वार पर दो हब्शी
नग्न तलवारें लिए खड़े हैं
और नंगे भाले लिए
चारों तरफ दुर्भेद्य कवच पहने
दिक्पाल
जो दिशाओं के रक्षक हैं
नदी पर यह पत्थर का पुल है
वास्तव में यह बीते है युग का
कोई अभिशप्त अजगर है
अब भी खोले मुँह अपना
वह नगर की दिशा में,
इसके मुख में
बैठा है एक हज़ार बरस का बूढ़ा
जादूगर
जिसकी आँखें हैं लाल अंगारा
जैसे कबूतर लाल
वह देखो कैसे उसने
मरोड़ी है गर्दन तोते की
निकल रहे होंगे प्राण
किसी प्रेत के
जो यूँही प्रविष्ट हुआ था
किसी लड़की के शरीर में
इस शहर में बहुत हैं अट्टालिकाएँ
छिटक आए हैं फूल भोजपत्र ढकी छतों पर
जैसे दहक रही हो अग्नि
हरे मैदानों में
जाली वाला पंजर पला
पाले में सतरंगी शीशे जुड़े
अमीरज़ादे खिड़कियों पर कोहनियाँ टिकाए
एक ओर सिर ऊँचा किए (दूल्हे) जा रहे हैं
दूसरी ओर हैं डोलियाँ
बिखरी है चाँदनी गली-कूचों में
चमक रहा पिछवाड़ा धूप में
सेठानियाँ सरू-वृक्षों के बीच बैठी हैं
वे अपनी सुंदर लटों में
सुगंध डाल रही हैं
चारों ओर पालतू हिरण
कुलांचे भरते रहते हैं
सुंदर-सुंदर लड़कियाँ
फूलों को रोप रही हैं
इनके सुर में जैसे
रुपहले नग़मे भरे हुए हैं
यह बाज़ार कैसा सजा-धजा है
दुलहिन की तरह
बिक रही हैं कैसी-कैसी चीज़ें
दुकानों में
समय स्वयं यहाँ रुका है
डरा-डरा-सा देख रहा है
कि कुछ मैं भी ले सकता
लोगों के खिले हुए माथे कह रहे
कि समृद्ध हैं ये, ख़ुशहाल हैं ये
हँसती हैं इनकी आँखें
उज्ज्वल हैं चेहरे
जैसे दूध धुले अजान बच्चे
इस कूचे में एक जादूगरनी है
एक दहकता अग्नि-कुंड है उसके आगे
वह एक नए आकार-प्रकार के दिए
तपा रही है
“पुराने दिए दे दो, नए दिए ले लो
उधर घंटी-सी बजी, क्या हाथी जा रहे हैं?
राजकुमार भ्रमण पर तो नहीं निकले?
घाट पर रंगीन नावें प्रतीक्षा में हैं
नगर मध्य में इक प्राचीन गुंबद खड़ा है
जैसे पत्थरों का यह निर्माण
रहस्यों को छिपाए बैठा है
इसके एक ओर
उतर रहे हैं पत्थर के जीने
वहाँ उतरने के लिए
चाहिए बड़ा विशाल हृदय
मैने यूँही देखा था
उस दर्पण कक्ष की ओर
देखते ही मैं मोहित-सा हुआ रे,
मेरे दिल
भाई—ठहरो, बात सुनो
यह लाल दुशाला ओढ़े हुए
तुम कहाँ चले
पीछे मुड़ो—ठहर जाओ
मुझे भी ले चलो
अपने साथ।
ek prachin shahr
unchi sudriDh prachir jiske charon or
jyon akash ko banh mein uthaye ho
dwar par do habshi
nagn talwaren liye khaDe hain
aur nange bhale liye
charon taraph durbhedy kawach pahne
dikpal
jo dishaon ke rakshak hain
nadi par ye patthar ka pul hai
wastaw ye bite hai yug ka
koi abhishapt ajgar hai
ab bhi khole munh apna
wo nagar ki disha mein,
iske mukh mein
baitha hai ek hazar baras ka buDha
jadugar
jiski ankhen hai lal angara
jaise kabutar lal
wo dekho kaise usne
maroDi hai gardan tote ki
nikal rahe honge paran
kisi pret ke
jo yunhi prawisht hua tha
kisi laDki ke sharir mein
is shahr mein bahut hain attalikayen
chhitak aaye hain phool bhojpatr Dhaki chhaton par
jaise dahak rahi ho agni
hare maidanon mein
jali wala panjar pala
pale mein satrangi shishe juDe
amirzade khiDakiyon par kohaniyan tikaye
ek or sir uncha kiye (dulhe) ja rahe hain
dusri or hain Doliyan
bikhri hai chandni gali kuchon mein
chamak raha pichhwaDa dhoop mein
sethaniyan saru wrikshon ke beech baithi hain
we apni sundar laton mein
sugandh Dal rahi hain
charon or paltu hirn
kulanche bharte rahte hain
sundar sundar laDkiyan
phulon ko rop rahi hain
inke sur mein jaise
rupahle naghme bhare hue hain
ye bazar kaisa saja dhaja hai
dulhin ki tarah
bik rahi hain kaisi kaisi chizen
dukanon mein
samay swayan yahan ruka hai
Dara Dara sa dekh raha hai
ki kuch mein bhi le sakta
logon ke khile hue mathe kah rahe
ki samrddh hain ye, khushhal hain ye
hansti hai inki ankhen
ujjwal hain chehre
jaise doodh dhule ajan bachche
is kuche mein ek jadugarni hain
ek dahakta agni kunD hai uske aage
wo ek nae akar prakar ke diye
tapa rahi hai
“purane diye de do, nae diye lelo
udhar ghanti si baji, kya hathi ja rahe hain?
rajakumar bhramn par to nahin nikle?
ghat par rangin nawen pratiksha mein hain
nagar madhya mein ek prachin gumbad khaDa hai
jaise patthron ka ye nirman
rahasyon ko chhipaye baitha hai
iske ek or
utar rahe hain patthar ke jine
wahan utarne ke liye
chahiye baDa wishal hirdai
mai ne yunhi dekha tha
us darpan kaksh ki or
dekhte hi main mohit sa hua re,
mere dil
bhai—thahro, baat suno
ye lal dushala oDhe hue
tum kahan chale
pichhe muDo—thahr jao
mujhe bhi le chalo
apne sath
(mool shirshak ha akh pron shahr)
ek prachin shahr
unchi sudriDh prachir jiske charon or
jyon akash ko banh mein uthaye ho
dwar par do habshi
nagn talwaren liye khaDe hain
aur nange bhale liye
charon taraph durbhedy kawach pahne
dikpal
jo dishaon ke rakshak hain
nadi par ye patthar ka pul hai
wastaw ye bite hai yug ka
koi abhishapt ajgar hai
ab bhi khole munh apna
wo nagar ki disha mein,
iske mukh mein
baitha hai ek hazar baras ka buDha
jadugar
jiski ankhen hai lal angara
jaise kabutar lal
wo dekho kaise usne
maroDi hai gardan tote ki
nikal rahe honge paran
kisi pret ke
jo yunhi prawisht hua tha
kisi laDki ke sharir mein
is shahr mein bahut hain attalikayen
chhitak aaye hain phool bhojpatr Dhaki chhaton par
jaise dahak rahi ho agni
hare maidanon mein
jali wala panjar pala
pale mein satrangi shishe juDe
amirzade khiDakiyon par kohaniyan tikaye
ek or sir uncha kiye (dulhe) ja rahe hain
dusri or hain Doliyan
bikhri hai chandni gali kuchon mein
chamak raha pichhwaDa dhoop mein
sethaniyan saru wrikshon ke beech baithi hain
we apni sundar laton mein
sugandh Dal rahi hain
charon or paltu hirn
kulanche bharte rahte hain
sundar sundar laDkiyan
phulon ko rop rahi hain
inke sur mein jaise
rupahle naghme bhare hue hain
ye bazar kaisa saja dhaja hai
dulhin ki tarah
bik rahi hain kaisi kaisi chizen
dukanon mein
samay swayan yahan ruka hai
Dara Dara sa dekh raha hai
ki kuch mein bhi le sakta
logon ke khile hue mathe kah rahe
ki samrddh hain ye, khushhal hain ye
hansti hai inki ankhen
ujjwal hain chehre
jaise doodh dhule ajan bachche
is kuche mein ek jadugarni hain
ek dahakta agni kunD hai uske aage
wo ek nae akar prakar ke diye
tapa rahi hai
“purane diye de do, nae diye lelo
udhar ghanti si baji, kya hathi ja rahe hain?
rajakumar bhramn par to nahin nikle?
ghat par rangin nawen pratiksha mein hain
nagar madhya mein ek prachin gumbad khaDa hai
jaise patthron ka ye nirman
rahasyon ko chhipaye baitha hai
iske ek or
utar rahe hain patthar ke jine
wahan utarne ke liye
chahiye baDa wishal hirdai
mai ne yunhi dekha tha
us darpan kaksh ki or
dekhte hi main mohit sa hua re,
mere dil
bhai—thahro, baat suno
ye lal dushala oDhe hue
tum kahan chale
pichhe muDo—thahr jao
mujhe bhi le chalo
apne sath
(mool shirshak ha akh pron shahr)
स्रोत :
पुस्तक : उजला राजमार्ग (पृष्ठ 109)
संपादक : रतनलाल शांत
रचनाकार : क़ाज़ी ग़ुलाम मुहम्मद
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.