कहाँ है मुर्शिदाबाद?
कौन आज भी पराजित होता है प्लासी में?
किस दुख को कह नहीं पा रही हमारी हिंदी इस बरस?
विद्यापति कैसे बदल गया राजकमल चौधरी में?
सन् '64 में भी होते थे शोभामंडित आयोजन दिल्ली में
जिसमें आज गद्गद् शरीक होता साहित्य-समाज;
कहाँ थे तब मुक्तिबोध?
कौन रोता है पटना की सड़कों पर
दूर देश में किसकी प्रिया बाट अगोरती?
क्या करते हैं आज गोरख के साथी कवि-साहित्यिक-पत्रकार?
कितने तो सवाल हैं,
पर सभी सवालों से बड़ा ज्ञानपीठ
बड़े हैं आयोजन, दूतावास बड़े
मध्यमवर्ग के क्रांति-विचारक लेखक के सुख-सौभाग्य बड़े
जो हार रही है गाँव-गली-जनपद
वह हिंदी की जनता है
इस जनता से हिंदी के लेखक का
शीश बड़ा, पाँव बड़े...
kahan hai murshidabad?
kaun aaj bhi parajit hota hai plasi men?
kis dukh ko kah nahin pa rahi hamari hindi is baras?
vidyapati kaise badal gaya rajakmal chaudhari men?
san 64 mein bhi hote the shobhamanDit ayojan dilli mein
jismen aaj gadgad sharik hota sahity samaj;
kahan the tab muktibodh?
kaun rota hai patna ki saDkon par
door desh mein kiski priya baat agorti?
kya karte hain aaj gorakh ke sathi kavi sahityik patrakar?
kitne to saval hain,
par sabhi savalon se baDa gyanpith
baDe hain ayojan, dutavas baDe
madhyamvarg ke kranti vicharak lekhak ke sukh saubhagya baDe
jo haar rahi hai gaanv gali janpad
wo hindi ki janta hai
is janta se hindi ke lekhak ka
sheesh baDa, paanv baDe. . .

स्रोत :
पुस्तक : यह धरती हमारा ही स्वप्न है (पृष्ठ 31)
रचनाकार : आलोक श्रीवास्तव
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.