हे पार्थ! यथार्थ यही है
तुम रुके नहीं, भ्रमण-रत हो
क्योंकि
ऐसे रुके रहने का अर्थ भ्रमण ही है पार्थ!
चारों ओर तुम्हारे
पृथ्वी है गतिमान निरंतर
कलियाँ खिलीं फूल बनकर
फिर गिरीं धरा पर मुरझाकर
नन्हे-नन्हे शिशु कल के
बने भयंकर युवक आज
मन में लेकर संकल्प कोई
ली बाँध कमर में छुरी
चिमनियाँ धुएँ के बने
जो कल तक थे हरे-भरे पहाड़
मानव-मन के भीतर-बाहर की
रुकी नदी अब बरस पड़ी
रुकी नदी की बरखा फिर
बरस-बरसकर नदी बनी है
लौट आई हैं बेचारी चिड़ियाँ
हो चुका नष्ट नीड़ जिनका,
मानव की जीवन-संध्या
की छाया
इतिहास के पन्नों में
दीर्घ से दीर्घतर होती हुई
खो गई है घुप्प अँधेरे में
हे परिश्रांत पार्थ!
इस रुकने का
अर्थ ही है भ्रमण
जीवंत समय के बीच तुम्हारा
अंतहीन है परिभ्रमण
यह सच है
है यह अवरोहण, पर
खेद का कारण नहीं
अब वास्तविकता है यही
और पार्थ,
वास्तव केवल कठोर ही नहीं
कभी-कभी होता है अर्थहीन
किंतु फलों पर कर्मों के
तुम्हारा वश भी तो नहीं
तुम हो उपलक्ष्य मात्र
सीधे शब्दों में—कठपुतली
इस रुके भ्रमण को,
सुनो पार्थ,
अव्याहत रहने दो अभी।
he parth! yatharth yahi hai
tum ruke nahin, bhramn rat ho
kyonki
aise ruke rahne ka arth bhramn hi hai parth!
charon or tumhare
prithwi hai gatiman nirantar
kaliyan khilin phool bankar
phir girin dhara par murjhakar
nannhe nannhe shishu kal
ke bane bhayankar yuwak aaj
man mein lekar sankalp koi
li bandh kamar mein chhuri
chimniyan dhuen ke bane
jo kal tak the hare bhare pahaD
mahan man k bhitar bahar ki
ruki nadi ab baras paDi
ruki nadi ki barkha phir
baras baraskar nadi bani hai
laut aayi hain bechari chiDiyan
ho chuka nasht neeD jinka,
manaw ki jiwan sandhya
ki chhaya
itihas ke pannon mein
deergh se dirghatar hoti hui
kho gayi hai ghupp andhere mein
he parishrant parth!
is rukte ka
arth hi hai bhramn
jiwant samay ke beech tumhara
anthin hai paribharman
hai ye awrohan, par
khed ka karan nahin
ab wastawikta hai yahi
aur parth,
wastaw kewal kathor hi nahin
kabhi kabhi hota hai arthahin
kintu phalon par karmon ke
tumhara wash bhi to nahin
tum ho uplakshy matr
sidhe shabdon mein—kathputli
is ruke bhramn ko,
suno parth,
awyahat rahne do abhi
he parth! yatharth yahi hai
tum ruke nahin, bhramn rat ho
kyonki
aise ruke rahne ka arth bhramn hi hai parth!
charon or tumhare
prithwi hai gatiman nirantar
kaliyan khilin phool bankar
phir girin dhara par murjhakar
nannhe nannhe shishu kal
ke bane bhayankar yuwak aaj
man mein lekar sankalp koi
li bandh kamar mein chhuri
chimniyan dhuen ke bane
jo kal tak the hare bhare pahaD
mahan man k bhitar bahar ki
ruki nadi ab baras paDi
ruki nadi ki barkha phir
baras baraskar nadi bani hai
laut aayi hain bechari chiDiyan
ho chuka nasht neeD jinka,
manaw ki jiwan sandhya
ki chhaya
itihas ke pannon mein
deergh se dirghatar hoti hui
kho gayi hai ghupp andhere mein
he parishrant parth!
is rukte ka
arth hi hai bhramn
jiwant samay ke beech tumhara
anthin hai paribharman
hai ye awrohan, par
khed ka karan nahin
ab wastawikta hai yahi
aur parth,
wastaw kewal kathor hi nahin
kabhi kabhi hota hai arthahin
kintu phalon par karmon ke
tumhara wash bhi to nahin
tum ho uplakshy matr
sidhe shabdon mein—kathputli
is ruke bhramn ko,
suno parth,
awyahat rahne do abhi
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविताएँ 1989-90-91 (पृष्ठ 27)
संपादक : र.श. केलकर
रचनाकार : विपुलज्योति शईकिया
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.