उतनी हवा
जितनी उसे फूला हुआ
बनाने के लिए ज़रूरी है
अपने पेट में भरकर
एक डोर से बँधा
सृष्टि की बाँकि बची हवा में
इठलाता हुआ
लहराता रहता है ग़ुब्बारा
उसकी यह हरक़त
बच्चों के मन में
लालच पैदा करने के लिए है
किसी स्थान या उत्सव की शोभा
बढ़ाने के लिए है
या अपनी ख़ुशी ज़ाहिर करना
इसी तरह आता है उसको
जब कोई बच्चा
उसे पाने के लिए
बड़ों से ज़िद करता है
वह भी एकदम से मचल उठता है
उनके हाथों में पहुँचने के लिए
फूला नहीं समाता पहुँचकर
बच्चों के हाथों तक पहुँचना
ग़ुब्बारे की जीवन यात्रा में
कोई तीर्थ है
अंयत्र कहीं अगर वह
उपस्थित किया जाता है
तो एक ऊब
एक थकान
एक अनिच्छा
एक विवशता
थोड़ी देर में
दिखने लगता है
उसके हाव-भाव से।
utni hava
jitni use phula hua
banane ke liye zaruri hai
apne pet mein bharkar
ek Dor se bandha
srishti ki banki bachi hava mein
ithlata hua
lahrata rahta hai ghubbara
uski ye harqat
bachchon ke man mein
lalach paida karne ke liye hai
kisi sthaan ya utsav ki shobha
baDhane ke liye hai
ya apni khushi zahir karna
isi tarah aata hai usko
jab koi bachcha
use pane ke liye
baDon se zid karta hai
wo bhi ekdam se machal uthta hai
unke hathon mein pahunchne ke liye
phula nahin samata pahunchakar
bachchon ke hathon tak pahunchna
ghubbare ki jivan yatra mein
koi teerth hai
anyatr kahin agar wo
upasthit kiya jata hai
to ek uub
ek thakan
ek anichchha
ek vivashta
thoDi der mein
dikhne lagta hai
uske haav bhaav se.
utni hava
jitni use phula hua
banane ke liye zaruri hai
apne pet mein bharkar
ek Dor se bandha
srishti ki banki bachi hava mein
ithlata hua
lahrata rahta hai ghubbara
uski ye harqat
bachchon ke man mein
lalach paida karne ke liye hai
kisi sthaan ya utsav ki shobha
baDhane ke liye hai
ya apni khushi zahir karna
isi tarah aata hai usko
jab koi bachcha
use pane ke liye
baDon se zid karta hai
wo bhi ekdam se machal uthta hai
unke hathon mein pahunchne ke liye
phula nahin samata pahunchakar
bachchon ke hathon tak pahunchna
ghubbare ki jivan yatra mein
koi teerth hai
anyatr kahin agar wo
upasthit kiya jata hai
to ek uub
ek thakan
ek anichchha
ek vivashta
thoDi der mein
dikhne lagta hai
uske haav bhaav se.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.