पुराना-धुराना बहोत बड़ा घर। बेशुमार कमरों के
बेहद छोटे-छोटे दरवाज़े। सिर नवाए बिना उनमें प्रवेश असंभव।
सहन जितना ही बड़ा सामने का फाटक।
जैसे वही सिमट कर बीच कमरे का द्वार बन जाता है।
सहन तक आ पहुँचे तो कमरा ही पुकार लेगा आपको और
सिर नवा प्रवेश किए बिना नहीं रह सकेंगे आप।
कमरे में गुँथवा रस्सी से बुनी झोलंग खाट। उसके नीचे
काठ की संदूक़ची जिस पर झूलते दुपैहिसा ताले को
बच्चा-हाथ का हल्का-सा झटका खोलने को बहुत काफ़ी।
बाबा की खटिया के नीचे पड़ी संदूक़ची आपको अपनी
उन गुदाज़ हथेलियों की याद दिलाएगी जिन्हें छूते ही
सभी बंद ताले ख़ुद-ब-ख़ुद खुल जाते।
संदूक़ची को खोलने बढ़ते आपके मुस्कुराते हाथ न जाने क्यों
यकायक सहम जाते हैं और फ़ौरन पलट कर
कमरे से सहन और सहन से घर के बाहर होते हुए
सोचने लगते हैं उस संदूक़ची के बारे में जिस में आप बंद हैं और
खोलना जिसे
अब आपके बूते बाहर है।
purana dhurana bahot baDa ghar beshumar kamron ke
behad chhote chhote darwaze sir nawaye bina unmen prawesh asambhaw
sahn jitna hi baDa samne ka phatak
jaise wahi simat kar beech kamre ka dwar ban jata hai
sahn tak aa pahunche to kamra hi pukar lega aapko aur
sir nawa prawesh kiye bina nahin rah sakenge aap
kamre mein gunthawa rassi se buni jholang khat uske niche
kath ki sanduqchi jis par jhulte dupaihisa tale ko
bachcha hath ka halka sa jhatka kholne ko bahut kafi
baba ki khatiya ke niche paDi sanduqchi aapko apni
un gudaz hatheliyon ki yaad dilayegi jinhen chhute hi
sabhi band tale khu ba khu khul jate
sanduqchi ko kholne baDhte aapke muskurate hath na jane kyon
yakayak saham jate hain aur fauran palat kar
kamre se sahn aur sahn se ghar ke bahar hote hue
sochne lagte hain us sanduqchi ke bare mein jis mein aap band hain aur
kholana jise
ab aapke bute bahar hai

स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 179-180 (पृष्ठ 92)
संपादक : प्रभात त्रिपाठी
रचनाकार : प्रमोद वर्मा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.