अभी कुछ देर पहले ही
वह कचरे और
कंकड़ से सना मिट्टी का लोंदा था
पहली बार मिला है इसे
गति और कौशल का संयोग
उखड़ती साँसों और
बीड़ी के कसैले धुएँ के बीच
आकार पा रहा है ये
धरती के ही रंग का यह
जब आँवा से पक कर निकलेगा
तब भोर के सूरज से कहेगा
देखो मेरा रंग तुम्हारे रंग से
कम चटख नहीं है
मुझे बनाने वाला तुम्हें बनाने वाले से
ज़्यादा हुनरमंद है
जब पहुँचेगा ये बाज़ार तो
टनक-टनक कर देगा
अपने खरे होने का सबूत
ये उनकी तरफ़ आँख भी नहीं करेगा
जिन्हें नहीं है इसकी ज़रूरत
और जिन्हें होगी इसकी ज़रूरत
उनके लिए गला डुबाकर भी
निकाल लाएगा पानी।
abhi kuch der pahle hi
wo kachre aur
kankaD se sana mitti ka londa tha
pahli bar mila hai ise
gati aur kaushal ka sanyog
ukhaDti sanson aur
biDi ke kasaile dhuen ke beech
akar pa raha hai ye
dharti ke hi rang ka ye
jab anwa se pak kar niklega
tab bhor ke suraj se kahega
dekho mera rang tumhare rang se
kam chatakh nahin hai
mujhe banane wala tumhein banane wale se
zyada hunarmand hai
jab pahunchega ye bazar to
tanak tanak kar dega
apne khare hone ka sabut
ye unki taraf ankh bhi nahin karega
jinhen nahin hai iski zarurat
aur jinhen hogi iski zarurat
unke liye gala Dubakar bhi
nikal layega pani
abhi kuch der pahle hi
wo kachre aur
kankaD se sana mitti ka londa tha
pahli bar mila hai ise
gati aur kaushal ka sanyog
ukhaDti sanson aur
biDi ke kasaile dhuen ke beech
akar pa raha hai ye
dharti ke hi rang ka ye
jab anwa se pak kar niklega
tab bhor ke suraj se kahega
dekho mera rang tumhare rang se
kam chatakh nahin hai
mujhe banane wala tumhein banane wale se
zyada hunarmand hai
jab pahunchega ye bazar to
tanak tanak kar dega
apne khare hone ka sabut
ye unki taraf ankh bhi nahin karega
jinhen nahin hai iski zarurat
aur jinhen hogi iski zarurat
unke liye gala Dubakar bhi
nikal layega pani
स्रोत :
रचनाकार : केशव तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.