मेरे गाँव के गड़रियों के पास
अब भेड़ें नहीं हैं
नानी कहती थी कि
नई बहुरिया बिना गहनों के
और चुगलख़ोर बिना चुगली के
रह सकते हैं पर
गड़रिये बिना भेड़ों के नहीं
ऐसा भी नहीं है कि
दुनिया में अब भेड़ें नहीं हैं
नहीं है बूढ़ी कुशल उँगलियों के लिए ऊन
जिनके ऊपर पूरे गाँव की
जड़ावर का ज़िम्मा था
ऐसा नहीं है कि अब
इस हुनर ज़रूरत नहीं है
नहीं है तो केवल इनके हुनर की ज़रूरत
वर्षों पुरानी अपनी पहचान खो चुके ये लोग
किस नई पहचान के साथ जिएँगे
यह वक़्त ही
एक अजीब अजनबीपन में जीने
पहचान खोने का है
पर ऐसा भी तो हुआ है
जब-जब अपनी पहचान को खड़ी हुई हैं क़ौमें
दुनिया को बदलना पड़ा है
अपना खेल।
mere ganw ke gaDariyon ke pas
ab bheDen nahin hain
nani kahti thi ki
nai bahuriya bina gahnon ke
aur chugalkhor bina chugli ke
rah sakte hain par
gaDariye bina bheDon ke nahin
aisa bhi nahin hai ki
duniya mein ab bheDen nahin hain
nahin hai buDhi kushal ungliyon ke liye un
jinke upar pure ganw ki
jaDawar ka zimma tha
aisa nahin hai ki ab
is hunar zarurat nahin hai
nahin hai to kewal inke hunar ki zarurat
warshon purani apni pahchan kho chuke ye log
kis nai pahchan ke sath jiyenge
ye waqt hi
ek ajib ajanbipan mein jine
pahchan khone ka hai
par aisa bhi to hua hai
jab jab apni pahchan ko khaDi hui hain qaumen
duniya ko badalna paDa hai
apna khel
mere ganw ke gaDariyon ke pas
ab bheDen nahin hain
nani kahti thi ki
nai bahuriya bina gahnon ke
aur chugalkhor bina chugli ke
rah sakte hain par
gaDariye bina bheDon ke nahin
aisa bhi nahin hai ki
duniya mein ab bheDen nahin hain
nahin hai buDhi kushal ungliyon ke liye un
jinke upar pure ganw ki
jaDawar ka zimma tha
aisa nahin hai ki ab
is hunar zarurat nahin hai
nahin hai to kewal inke hunar ki zarurat
warshon purani apni pahchan kho chuke ye log
kis nai pahchan ke sath jiyenge
ye waqt hi
ek ajib ajanbipan mein jine
pahchan khone ka hai
par aisa bhi to hua hai
jab jab apni pahchan ko khaDi hui hain qaumen
duniya ko badalna paDa hai
apna khel
स्रोत :
रचनाकार : केशव तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.