कोई एक आग है
जो नज़दीक आकर
तपने से रचने लगती है
अपने को
सामने को
गलाती है
पिघलाकर रिझाती है
नई ज़िंदगी के
खुल खिलते रंगों के लिए
नए स्रोत की तपिश से
सुगंध बनकर फैलने के लिए
पुकार बनकर
हज़ार बाँहों तक में अदृश्य समाकर
रग-रग की ताक़त होकर
ललकारने के लिए
आग़ोश में होते
भरे स्नान की तरह उतरते
बरसती है कविता
एक-एक बूँद ज़मीन पर गिरे बग़ैर
भिगोती है
धीरे सोचती शरीर होती जाती है
आँखें खुली रखती है तो
आकाश छोटा पड़ जाता है
पर भर जाता है
किसी ज़माने में
स्पर्श के चुंबनों की तरह
भाषा उगती थी
उठते हुए रोमों की तरह
तृण को दूब-सा लहराने की भाषा
अब आँख की चुभती देख से त्वरित
हर चीज़
कोयले-सी दहक उठती है
ज़िंदगी आग में नहाकर
स्वस्थ होने की क़ाबिलियत
ले रही है क्या?
चीज़ों में भिदी हुई आग का
रूप ले लेगी कविता क्या?
स्वस्थ होने की क़ाबिलियत
कोयले-सी दहक उठती है।
koi ek aag hai
jo nazdik aakar
tapne se rachne lagti hai
apne ko
samne ko
galati hai
pighlakar rijhati hai
nai zindagi ke
khul khilte rangon ke liye
nae srot ki tapish se
sugandh bankar phailne ke liye
pukar bankar
hazar banhon tak mein adrshy samakar
rag rag ki taqat hokar
lalkarne ke liye
aghosh mein hote
bhare snan ki tarah utarte
barasti hai kawita
ek ek boond zamin par gire baghair
bhigoti hai
dhire sochti sharir hoti jati hai
ankhen khuli rakhti hai to
akash chhota paD jata hai
par bhar jata hai
kisi zamane mein
sparsh ke chumbnon ki tarah
bhasha ugti thi
uthte hue romon ki tarah
trin ko doob sa lahrane ki bhasha
ab ankh ki chubhti dekh se twarit
har cheez
koyle si dahak uthti hai
zindagi aag mein nahakar
swasth hone ki qabiliyat
le rahi hai kya?
chizon mein bhidi hui aag ka
roop le legi kawita kya?
swasth hone ki qabiliyat
koyle si dahak uthti hai
koi ek aag hai
jo nazdik aakar
tapne se rachne lagti hai
apne ko
samne ko
galati hai
pighlakar rijhati hai
nai zindagi ke
khul khilte rangon ke liye
nae srot ki tapish se
sugandh bankar phailne ke liye
pukar bankar
hazar banhon tak mein adrshy samakar
rag rag ki taqat hokar
lalkarne ke liye
aghosh mein hote
bhare snan ki tarah utarte
barasti hai kawita
ek ek boond zamin par gire baghair
bhigoti hai
dhire sochti sharir hoti jati hai
ankhen khuli rakhti hai to
akash chhota paD jata hai
par bhar jata hai
kisi zamane mein
sparsh ke chumbnon ki tarah
bhasha ugti thi
uthte hue romon ki tarah
trin ko doob sa lahrane ki bhasha
ab ankh ki chubhti dekh se twarit
har cheez
koyle si dahak uthti hai
zindagi aag mein nahakar
swasth hone ki qabiliyat
le rahi hai kya?
chizon mein bhidi hui aag ka
roop le legi kawita kya?
swasth hone ki qabiliyat
koyle si dahak uthti hai
स्रोत :
रचनाकार : मलय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.