पिता झाड़-झंखाड़, घाटियों और पत्थरों से भरे
चटियल मैदान थे।
पिता सागौन, शीशम, बबूल, तेंदुओं और हिरनों से भरे
बीहड़ थे।
बचपन में अक्सर
किसी ऊँचे टीले पर चढ़ कर
मैं आस-पास के गाँवों में
ललकार दिया करता था
नाके के पार
शहर तक में
पिता का रोब था।
एक-एक इमारत पर
उनकी कन्नियाँ सरकी थीं।
एक-एक दीवार पर
उनकी उँगलियों के निशान थे।
हर दरवाज़े की काठ पर
उनका रंदा चला था।
नाके के इस पार
जहाँ से गाँव की वीरानगी शुरू होती है
हर खेत की कठोर छाती पर
पिता अपनी कुदाल
धँसा गए थे।
हल की हर मूठ पर
उनकी घट्ठेदार हथेलियों की छाप थी।
हर गरियार बैल के पुट्ठों पर
उनके डंडे के दाग थे...
बचपन में
पिता के कंधे पर बैठ कर
मैं बाज़ार घूमने जाता था।
पिता पहाड़ की तरह
चलते भीड़ की तरह
उनके कंधे पर मैं
जंगली तोते की तरह बैठा रहता।
बाद में पिता
ग़ायब हो गए
कहते हैं खेल, कुदाल,
बैल, इमारतें, ईंटे, दरवाज़े, बाज़ार
उन्हें पचा गए।
मुझे लगता है
उस चटियल मैदान
के भीतर (जो पिता थे)
ज़मीन की दूसरी-तीसरी परतों में।
सरकता हुआ कोई
नम सोता भी था
जो मेहनत करते
पिता की देह के अलावा
कभी-कभी मेरी आँखों से भी
रिसने लगता था।
pita jhaD jhankhaD, ghatiyon aur patthron se bhare
chatiyal maidan the
pita sagaun, shisham, babul, tenduon aur hirnon se bhare
bihaD the
bachpan mein aksar
kisi unche tile par chaDh kar
main aas pas ke ganwon mein
lalkar diya karta tha
nake ke par
shahr tak mein
pita ka rob tha
ek ek imarat par
unki kanniyan sarki theen
ek ek diwar par
unki ungliyon ke nishan the
har darwaze ki kath par
unka randa chala tha
nake ke is par
jahan se ganw ki wiranagi shuru hoti hai
har khet ki kathor chhati par
pita apni kudal
dhansa gaye the
hal ki har mooth par
unki ghatthedar hatheliyon ki chhap thi
har gariyar bail ke putthon par
unke DanDe ke dag the
bachpan mein
pita ke kandhe par baith kar
main bazar ghumne jata tha
pita pahaD ki tarah
chalte bheeD ki tarah
unke kandhe par main
jangli tote ki tarah baitha rahta
baad mein pita
ghayab ho gaye
kahte hain khel, kudal,
bail, imarten, inte, darwaze, bazar
unhen pacha gaye
mujhe lagta hai
us chatiyal maidan
ke bhitar (jo pita the)
zamin ki dusri tisri parton mein
sarakta hua koi
nam sota bhi tha
jo mehnat karte
pita ki deh ke alawa
kabhi kabhi meri ankhon se bhi
risne lagta tha
pita jhaD jhankhaD, ghatiyon aur patthron se bhare
chatiyal maidan the
pita sagaun, shisham, babul, tenduon aur hirnon se bhare
bihaD the
bachpan mein aksar
kisi unche tile par chaDh kar
main aas pas ke ganwon mein
lalkar diya karta tha
nake ke par
shahr tak mein
pita ka rob tha
ek ek imarat par
unki kanniyan sarki theen
ek ek diwar par
unki ungliyon ke nishan the
har darwaze ki kath par
unka randa chala tha
nake ke is par
jahan se ganw ki wiranagi shuru hoti hai
har khet ki kathor chhati par
pita apni kudal
dhansa gaye the
hal ki har mooth par
unki ghatthedar hatheliyon ki chhap thi
har gariyar bail ke putthon par
unke DanDe ke dag the
bachpan mein
pita ke kandhe par baith kar
main bazar ghumne jata tha
pita pahaD ki tarah
chalte bheeD ki tarah
unke kandhe par main
jangli tote ki tarah baitha rahta
baad mein pita
ghayab ho gaye
kahte hain khel, kudal,
bail, imarten, inte, darwaze, bazar
unhen pacha gaye
mujhe lagta hai
us chatiyal maidan
ke bhitar (jo pita the)
zamin ki dusri tisri parton mein
sarakta hua koi
nam sota bhi tha
jo mehnat karte
pita ki deh ke alawa
kabhi kabhi meri ankhon se bhi
risne lagta tha
स्रोत :
पुस्तक : कवि ने कहा (पृष्ठ 10)
रचनाकार : उदय प्रकाश
प्रकाशन : किताबघर प्रकाशन
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.