कुछ चेहरे बचे हैं
इनकी हड्डियों में मज्जा
शिराओं में रक्त नहीं है
ये चेहरे खेतों में दबे हैं
मशीनों के गियर के बीच
घड़घड़ाकर पिस रहे हैं
दुकानों में आइए-आइए चिल्लाते हुए
इंतिज़ार कर रहे हैं
ग्राहक का
यही चेहरे हैं
जो दंगों में बिलबिलाते हैं
हिंदू को हिंदू
मुस्लिम को मुस्लिम हूँ
बताते हैं
यही चेहरे हैं
जिन पर यूनियन कार्बाइड
फूटकर बरस जाता है—
इत्रपाश की तरह
झरिया कोलियरी में जो आज भी
कोयला बन जलते हैं
ये चेहरे एक से हैं
दस हज़ार वर्षों से
बदसूरत चेहरों की मिलावट कर
ज़बरदस्ती अलग-अलग किए गए हैं
ये चेहरे एक से हैं
पर एक नहीं हैं
इनके एक होने का ख़तरा है
इन्हीं चेहरों की भीड़ में
शासक डकारते हैं—
जो चेहरे बच गए हैं
देश के शत्रु हैं
उनको मारो
जो चेहरे कम हो रहे हैं
वे दिवंगत हैं
देश को उन पर नाज़ है…”
शासक को नहीं पता
जब चेहरों में मज्जा और
रक्त नहीं होता
तो ज़्यादा दबाने पर
कुछ चेहरे
बम की तरह फटते हैं।
kuch chehre bache hain
inki haDDiyon mein majja
shiraon mein rakt nahin hai
ye chehre kheton mein dabe hain
mashinon ke gear ke beech
ghaDaghDakar pis rahe hain
dukanon mein aiye aiye chillate hue
intizar kar rahe hain
gerahak ka
yahi chehre hain
jo dangon mein bilbilate hain
hindu ko hindu
muslim ko muslim hoon
batate hain
yahi chehre hain
jin par union karbaiD
phutkar baras jata hai—
itrpash ki tarah
jhariya koliyri mein jo aaj bhi
koyala ban jalte hain
ye chehre ek se hain
das hazar warshon se
badsurat chehron ki milawat kar
zabardasti alag alag kiye gaye hain
ye chehre ek se hain
par ek nahin hain
inke ek hone ka khatra hai
inhin chehron ki bheeD mein
shasak Dakarte hain—
jo chehre bach gaye hain
desh ke shatru hain
unko maro
jo chehre kam ho rahe hain
we diwangat hain
desh ko un par naz hai…”
shasak ko nahin pata
jab chehron mein majja aur
rakt nahin hota
to zyada dabane par
kuch chehre
bam ki tarah phatte hain
kuch chehre bache hain
inki haDDiyon mein majja
shiraon mein rakt nahin hai
ye chehre kheton mein dabe hain
mashinon ke gear ke beech
ghaDaghDakar pis rahe hain
dukanon mein aiye aiye chillate hue
intizar kar rahe hain
gerahak ka
yahi chehre hain
jo dangon mein bilbilate hain
hindu ko hindu
muslim ko muslim hoon
batate hain
yahi chehre hain
jin par union karbaiD
phutkar baras jata hai—
itrpash ki tarah
jhariya koliyri mein jo aaj bhi
koyala ban jalte hain
ye chehre ek se hain
das hazar warshon se
badsurat chehron ki milawat kar
zabardasti alag alag kiye gaye hain
ye chehre ek se hain
par ek nahin hain
inke ek hone ka khatra hai
inhin chehron ki bheeD mein
shasak Dakarte hain—
jo chehre bach gaye hain
desh ke shatru hain
unko maro
jo chehre kam ho rahe hain
we diwangat hain
desh ko un par naz hai…”
shasak ko nahin pata
jab chehron mein majja aur
rakt nahin hota
to zyada dabane par
kuch chehre
bam ki tarah phatte hain
स्रोत :
रचनाकार : सौरभ राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.