तुम बिन मैं पृथ्वी पर जीने की कोशिश करूँगी
तुम बिन मैं पृथ्वी पर जीने की कोशिश करूँगी
मैं कोई भी वस्तु बन जाऊँगी
इसकी मुझे परवाह नहीं—
तेज़ी से चलने वाली रेलगाड़ी या धुआँ
या बन जाऊँगी सामने की सीट पर बैठे हँसते हुए सुंदर समलैंगिक पुरुष
एक मानव देह पूरी तरह असहाय है
पृथ्वी पर
आग में भस्म होने वाला लकड़ी का एक टुकड़ा
समुद्र की लहरें इस पर चोट कर रही हैं
लेनिन इसे अपने आधिकारिक कंधे पर रखता है
और इसलिए इंसान की आत्मा कष्ट न सहने की कोशिश में
हवा और लकड़ी और एक महान तानाशाह के कंधे पर जीवित रहती है
लेकिन मैं पानी और आग नहीं बनना चाहती
मैं पलकें बन जाऊँगी
तुम्हारे गर्दन के रोयों को साफ़ करने वाला स्पंज
या एक क्रिया, विशेषण बन जाऊँगी या वैसा ही कोई शब्द
आपके गाल थोड़े से चमके
क्या हुआ? कुछ नहीं!
कोई आया? कोई नहीं!
वहाँ क्या था कि आप फुसफुसा नहीं सके
आग के बिना धुआँ, वे फुसफुसाए
मैं इस खोए हुए मास्को शहर के ऊपर
झरती मुट्ठी भर राख हो जाऊँगी
मैं किसी भी व्यक्ति को दिलासा दूँगी
सेना की यात्रा में इस्तेमाल घोड़ा-गाड़ी के नीचे
मैं किसी भी पुरुष के साथ सो जाऊँगी
tum bin main prithvi par jine ki koshish karungi
tum bin main prithvi par jine ki koshish karungi
main koi bhi vastu ban jaungi
iski mujhe parvah nahin—
tezi se chalne vali relgaDi ya dhuan
ya ban jaungi samne ki seet par baithe hanste hue sundar samlaingik purush
ek manav deh puri tarah ashay hai
prithvi par
aag mein bhasm hone vala lakDi ka ek tukDa
samudr ki lahren is par chot kar rahi hain
lenin ise apne adhikarik kandhe par rakhta hai
aur isliye insaan ki aatma kasht na sahne ki koshish men
hava aur lakDi aur ek mahan tanashah ke kandhe par jivit rahti hai
lekin main pani aur aag nahin banna chahti
main palken ban jaungi
tumhare gardan ke royon ko saaf karne vala spanj
ya ek kriya, visheshan ban jaungi ya vaisa hi koi shabd
aapke gaal thoDe se chamke
kya hua? kuch nahin!
koi aaya? koi nahin!
vahan kya tha ki aap phusphusa nahin sake
aag ke bina dhuan, ve phusaphusaye
main is khoe hue masko shahr ke uupar
jharti mutthi bhar raakh ho jaungi
main kisi bhi vyakti ko dilasa dungi
sena ki yatra mein istemal ghoDa gaDi ke niche
main kisi bhi purush ke saath so jaungi

स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा पत्रिका
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : पोलिना बर्स्कोवा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.