मेरा मन बर्फ़ीली घाटी का वह रास्ता था
जिससे या तो वे भिक्षु गुज़रे
जिन्हें लौटना सिखाया ही नहीं गया था
या फिर वे व्यापारी बंजारे जिनका मक़सद
बाज़ार तक जाने वाले नए रस्ते तलाशना था
बंजारों ने मुझे बेकार बीहड़ कहा
वे बसावटों में दुकानदारी जमाने के लिए
कटने-मरने लगे
दुनियादार ज्ञानियों ने मुझे
नज़र बाँधने वाली माया कहा
वे भीड़ जमाकर पत्थर पूजने लगे
तुम्हें देखकर मैंने जाना बीहड़ में
सिर्फ़ वे बसते हैं जो ख़ुद बहिष्कृत होते हैं
जीवन ने मुझे यह सिखाया
अगर मन नीरव बर्फ़ीले पड़ावों-सा हो
तो बसावटों का मोह नहीं करना चाहिए
वे लोग ग़लत होते हैं जो मानते हैं
कि यात्रा की स्मृतियाँ
केवल यात्रियों के पास होती हैं।
mera man barfili ghati ka wo rasta tha
jisse ya to we bhikshu guzre
jinhen lautna sikhaya hi nahin gaya tha
ya phir we wyapari banjare jinka maqsad
bazar tak jane wale nae raste talashna tha
banjaron ne mujhe bekar bihaD kaha
we basawton mein dukanadari jamane ke liye
katne marne lage
duniyadar gyaniyon ne mujhe
nazar bandhne wali maya kaha
we bheeD jamakar patthar pujne lage
tumhein dekhkar mainne jana bihaD mein
sirf we baste hain jo khu bahishkrit hote hain
jiwan ne mujhe ye sikhaya
agar man niraw barfile paDawon sa ho
to basawton ka moh nahin karna chahiye
we log ghalat hote hain jo mante hain
ki yatra ki smritiyan
kewal yatriyon ke pas hoti hain
mera man barfili ghati ka wo rasta tha
jisse ya to we bhikshu guzre
jinhen lautna sikhaya hi nahin gaya tha
ya phir we wyapari banjare jinka maqsad
bazar tak jane wale nae raste talashna tha
banjaron ne mujhe bekar bihaD kaha
we basawton mein dukanadari jamane ke liye
katne marne lage
duniyadar gyaniyon ne mujhe
nazar bandhne wali maya kaha
we bheeD jamakar patthar pujne lage
tumhein dekhkar mainne jana bihaD mein
sirf we baste hain jo khu bahishkrit hote hain
jiwan ne mujhe ye sikhaya
agar man niraw barfile paDawon sa ho
to basawton ka moh nahin karna chahiye
we log ghalat hote hain jo mante hain
ki yatra ki smritiyan
kewal yatriyon ke pas hoti hain
स्रोत :
रचनाकार : लवली गोस्वामी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.