प्रेम एकनिष्ठ होता है
पीड़ाएँ बहुवचन।
हल्का-सा स्पर्श
छूने की परिभाषा को बदल जाता है।
प्रेम की भाषा नहीं होती
इज़हार के शब्द नहीं होते हैं।
प्रेम इस तरह होता है
जैसे वाक्य को उल्टा पढ़ा जाता है।
दुख की रेखाएँ
होंठों पर उगकर
हाथ ही हाथ में हरी हो जाती हैं।
चूमने की इच्छा
होंठों से रिसकर
आत्मा में बहती रहती है।
नींद में आँखें सोती हैं,
हदय रंगीन सपनों की
चौकीदारी करता है।
बात इस तरह करते हैं
जैसे वे कविता लिखते हैं।
आवाज़ों का हुनर
अर्थ को पता है।
मौन की पीड़ा
शब्द जानते हैं।
तुम बोलते क्यों नहीं हो?
तुम सुनती क्यों नहीं हो?
याद जाती क्यों नहीं है?
प्रेमी उसी तरह मरते हैं
जैसे सवाल—
उत्तरों की उम्मीद में
रोज़ मरते हैं!
prem eknishth hota hai
piDayen bahuwchan
halka sa sparsh
chhune ki paribhasha ko badal jata hai
prem ki bhasha nahin hoti
izhaar ke shabd nahin hote hain
prem is tarah hota hai
jaise waky ko ulta paDha jata hai
dukh ki rekhayen
honthon par ugkar
hath hi hath mein hari ho jati hain
chumne ki ichha
honthon se riskar
atma mein bahti rahti hai
neend mein ankhen soti hain,
haday rangin sapnon ki
chaukidari karta hai
baat is tarah karte hain
jaise we kawita likhte hain
awazon ka hunar
arth ko pata hai
maun ki piDa
shabd jante hain
tum bolte kyon nahin ho?
tum sunti kyon nahin ho?
yaad jati kyon nahin hai?
premi usi tarah marte hain
jaise sawal—
uttron ki ummid mein
roz marte hain!
prem eknishth hota hai
piDayen bahuwchan
halka sa sparsh
chhune ki paribhasha ko badal jata hai
prem ki bhasha nahin hoti
izhaar ke shabd nahin hote hain
prem is tarah hota hai
jaise waky ko ulta paDha jata hai
dukh ki rekhayen
honthon par ugkar
hath hi hath mein hari ho jati hain
chumne ki ichha
honthon se riskar
atma mein bahti rahti hai
neend mein ankhen soti hain,
haday rangin sapnon ki
chaukidari karta hai
baat is tarah karte hain
jaise we kawita likhte hain
awazon ka hunar
arth ko pata hai
maun ki piDa
shabd jante hain
tum bolte kyon nahin ho?
tum sunti kyon nahin ho?
yaad jati kyon nahin hai?
premi usi tarah marte hain
jaise sawal—
uttron ki ummid mein
roz marte hain!
स्रोत :
रचनाकार : अमर दलपुरा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.