सौभाग्य-भाव से मिला हुआ,
श्वासोच्छ्वासों से हिला हुआ,
संसार-विटपि में खिला हुआ,
झड़ पड़ा अचानक झूल-झूल;
मेरे आँगन का एक फूल!
ऊषा ने अपना उदय किया,
दीपक ने निज निर्वाण लिया,
मुझको मारुत ने जगा दिया,
देखा कि दे गया हृदय-शूल;
मेरे आँगन का एक फूल!
वह रूप कहाँ, वह रंग कहाँ,
हिलने-डुलने का ढंग कहाँ,
हो गया हरे! रस भंग यहाँ,
उड़ गई गंध की हाय! धूल;
मेरे आँगन का एक फूल!
करता समीर था साँय-साँय,
भूतल लगता था भाँय-भाँय,
बकता था मैं भी आँय-बाँय,
दिखलाई देता था न कूल;
मेरे आँगन का एक फूल!
आए इतने में श्रीनिवास,
था उसी फूल-सा मंद हास,
बोले—उसमें था स्वर्ग-वास,
वह गई, सूक्ष्म था, रहा स्थूल;
मेरे आँगन का एक फूल!
बोला तब मैं हे राज-राज!
क्या है इसके अतिरिक्त आज,
जिसकी अंजलि दूँ तुम्हें साज,
लो इसको भी सब दोष भूल;
मेरे आँगन का एक फूल!
saubhagya bhaw se mila hua,
shwasochchhwason se hila hua,
sansar witapi mein khila hua,
jhaD paDa achanak jhool jhool;
mere angan ka ek phool!
usha ne apna uday kiya,
dipak ne nij nirwan liya,
mujhko marut ne jaga diya,
dekha ki de gaya hirdai shool;
mere angan ka ek phool!
wo roop kahan, wo rang kahan,
hilne Dulne ka Dhang kahan,
ho gaya hare! ras bhang yahan,
uD gai gandh ki hay! dhool;
mere angan ka ek phool!
karta samir tha sanyan sanyan,
bhutal lagta tha bhanyan bhanyan,
bakta tha main bhi anyan banyan,
dikhlai deta tha na kool;
mere angan ka ek phool!
aye itne mein shriniwas,
tha usi phool sa mand has,
bole—usmen tha swarg was,
wo gai, sookshm tha, raha sthool;
mere angan ka ek phool!
bola tab main he raj raj!
kya hai iske atirikt aaj,
jiski anjali doon tumhein saj,
lo isko bhi sab dosh bhool;
mere angan ka ek phool!
saubhagya bhaw se mila hua,
shwasochchhwason se hila hua,
sansar witapi mein khila hua,
jhaD paDa achanak jhool jhool;
mere angan ka ek phool!
usha ne apna uday kiya,
dipak ne nij nirwan liya,
mujhko marut ne jaga diya,
dekha ki de gaya hirdai shool;
mere angan ka ek phool!
wo roop kahan, wo rang kahan,
hilne Dulne ka Dhang kahan,
ho gaya hare! ras bhang yahan,
uD gai gandh ki hay! dhool;
mere angan ka ek phool!
karta samir tha sanyan sanyan,
bhutal lagta tha bhanyan bhanyan,
bakta tha main bhi anyan banyan,
dikhlai deta tha na kool;
mere angan ka ek phool!
aye itne mein shriniwas,
tha usi phool sa mand has,
bole—usmen tha swarg was,
wo gai, sookshm tha, raha sthool;
mere angan ka ek phool!
bola tab main he raj raj!
kya hai iske atirikt aaj,
jiski anjali doon tumhein saj,
lo isko bhi sab dosh bhool;
mere angan ka ek phool!
स्रोत :
पुस्तक : मंगल-घट (पृष्ठ 236)
संपादक : मैथिलीशरण गुप्त
रचनाकार : मैथिलीशरण गुप्त
प्रकाशन : साहित्य-सदन, चिरगाँव (झाँसी)
संस्करण : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.