जब तुम लिखोगी
कोई नमकीन कविता
वो ललचाते आएँगे
ढूँढ़ने उसमें तुम्हारी देह
डर में लिखी कविता में ढूँढ़ेंगे तुम्हें
किसी अँधेरी दिल की गली में
कुलमुलाती उँगलियों के लिए
तुम्हारा ठंडा झुकता सा कांधा
तुम दर्द लिखोगी जब
मरहम तले आएँगे पास
तुम चीख़कर चिल्लाओगी
वे सिर्फ़ देह कहेंगे, देह सुनेंगे
कोई समझ पाया है भला
साँसों में महकती प्रीत कभी
रूदन किसी कविता में सुनना
शब्दों में खोज पाना खोई ज़िंदगी
कभी किसी स्त्री के हाथों पर
गिनना जले हुए दागों के चिह्न
इतने बरस में संपदा के नाम पर
बटोरे हैं दसियों देह के ज़ख़्म
कोई तो सुने गूँज कहीं कभी
सिसकती हुई कहीं ख़ुशियाँ
मिट्टी के जिस्म में बँधी जाने
कितनी सख़्त हैं कसती बेडियाँ
देह के बंधनों से उन्मुक्त
पढ़ लेना एक कहानी
गढ़ लेना मन में एक
नायिका कोई मुझ सी ही
पर मत ढूँढ़ना मुझमें कभी
कहीं तुम्हारी बनाई छवि को
क्यों चंद कविताओं में तुम
जान लेना चाहते हो कवि को
jab tum likhogi
koi namkin kavita
wo lalchate ayenge
DhunDhane usmen tumhari deh
Dar mein likhi kavita mein DhunDhenge tumhen
kisi andheri dil ki gali men
kulamulati ungliyon ke liye
tumhara thanDa jhukta sa kandha
tum dard likhogi jab
marham tale ayenge paas
tum chikhkar chillaogi
ve sirf deh kahenge, deh sunenge
koi samajh paya hai bhala
sanson mein mahakti preet kabhi
rudan kisi kavita mein sunna
shabdon mein khoj pana khoi zindagi
kabhi kisi stri ke hathon par
ginna jale hue dagon ke chihn
itne baras mein sampada ke naam par
batore hain dasiyon deh ke zakhm
koi to sune goonj kahin kabhi
sisakti hui kahin khushiyan
mitti ke jism mein bandhi jane
kitni sakht hain kasti beDiyan
deh ke bandhnon se unmukt
paDh lena ek kahani
gaDh lena man mein ek
nayika koi mujh si hi
par mat DhunDhana mujhmen kabhi
kahin tumhari banai chhavi ko
kyon chand kavitaon mein tum
jaan lena chahte ho kavi ko
jab tum likhogi
koi namkin kavita
wo lalchate ayenge
DhunDhane usmen tumhari deh
Dar mein likhi kavita mein DhunDhenge tumhen
kisi andheri dil ki gali men
kulamulati ungliyon ke liye
tumhara thanDa jhukta sa kandha
tum dard likhogi jab
marham tale ayenge paas
tum chikhkar chillaogi
ve sirf deh kahenge, deh sunenge
koi samajh paya hai bhala
sanson mein mahakti preet kabhi
rudan kisi kavita mein sunna
shabdon mein khoj pana khoi zindagi
kabhi kisi stri ke hathon par
ginna jale hue dagon ke chihn
itne baras mein sampada ke naam par
batore hain dasiyon deh ke zakhm
koi to sune goonj kahin kabhi
sisakti hui kahin khushiyan
mitti ke jism mein bandhi jane
kitni sakht hain kasti beDiyan
deh ke bandhnon se unmukt
paDh lena ek kahani
gaDh lena man mein ek
nayika koi mujh si hi
par mat DhunDhana mujhmen kabhi
kahin tumhari banai chhavi ko
kyon chand kavitaon mein tum
jaan lena chahte ho kavi ko
स्रोत :
रचनाकार : बबली गुज्जर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.