सपनों को समय से भुलाने की
मत सोचो
समय और सपने
जीवन साथी हो ही नहीं सकते!
और समय की प्रातः घोषणा कर
भ्रम में मत डालो किसी को
हत्या कर रहा है आजकल
अँधेरा ही अँधेरे की।
उड़ने के लिए पंख
नहीं चाहिए मुझे
कल्पना के पंखों से उड़कर वास्तविकता तक
पहुँचा हूँ—
याद नहीं है, अभी तक।
मेरी ख़ुशी, तुम्हारी ख़ुशी नहीं हो सकती
ज़रूरत नहीं है, मेनका!
मेरे आनन्द और एकान्त में
आग लगाने वाले तुम्हारे कोमल हाथ
तुम्हारा स्वर्ग / मेरी दुनिया
प्रातः और पल का अंतर है।
अतः रातोंरात जन्मे स्वर्ग सौंदर्य की उम्र
गुलाब के फूलों से भुलाने आ जाना
नींद की झपकी में सपने देखकर
सपनों से समय को भुलाने की मत सोचना।
सूखे की याद कर
गेंदे और गुलदाउदी से कैक्टस भूलने की
चाहत रखने वाला नहीं हूँ मैं
सूरज के डूबते ही
मुझे याद आते हैं
वे पल और सपने।
आग के जलने से नष्ट उजाड़ मन
खिलने लगी हैं।
अब नई कलियाँ।
वही रंग / वही ब्रश
उसी कैनवास पर ज़िंदगी को पोतकर
मेरी ज़िंदगी, मुझी को खरीदने
न आओ मेनका!
एक ही झपकी में दिखे सपने से
समय को भुलाने की मत सोचो
आजकल उजाला ही उजाले की
उजाले में ही हत्या कर रहा है
मेनका!
फिर हत्या कर रहा है!
आजकल अँधेरा ही अँधेरे की
हत्या कर रहा है...!!
sapnon ko samay se bhulane ki
mat socho
samay aur sapne
jiwan sathi ho hi nahin sakte!
aur samay ki prata ghoshana kar
bhram mein mat Dalo kisi ko
hattya kar raha hai ajkal
andhera hi andhere ki
uDne ke liye pankh
nahin chahiye mujhe
kalpana ke pankhon se uDkar wastawikta tak
pahuncha hoon—
yaad nahin hai, abhi tak
meri khushi, tumhari khushi nahin ho sakti
zarurat nahin hai, meinka!
mere anand aur ekant mein
ag lagane wale tumhare komal hath
tumhara swarg / meri duniya
prata aur pal ka antar hai
at ratarat janme swarg saundarya ki umr
gulab ke phulon se bhulane aa jana
neend ki jhapki mein sapne dekhkar
sapnon se samay ko bhulane ki mat sochna
sukhe ki yaad kar
gende aur guldaudi se cactus bhulne ki
chahat rakhne wala nahin hoon main
suraj ke Dubte hi
mujhe yaad aate hain
we pal aur sapne
ag ke jalne se nasht ujaD man
khilne lagi hain
ab nai kaliyan
wahi rang / wahi brush
usi kainwas par zindagi ko potkar
meri zindagi, mujhi ko kharidne
na aao meinka!
ek hi jhapki mein dikhe sapne se
samay ko bhulane ki mat socho
ajkal ujala hi ujale ki
ujale mein hi hattya kar raha hai
menka!
phir hattya kar raha hai!
ajkal andhera hi andhere ki
hattya kar raha hai !!
sapnon ko samay se bhulane ki
mat socho
samay aur sapne
jiwan sathi ho hi nahin sakte!
aur samay ki prata ghoshana kar
bhram mein mat Dalo kisi ko
hattya kar raha hai ajkal
andhera hi andhere ki
uDne ke liye pankh
nahin chahiye mujhe
kalpana ke pankhon se uDkar wastawikta tak
pahuncha hoon—
yaad nahin hai, abhi tak
meri khushi, tumhari khushi nahin ho sakti
zarurat nahin hai, meinka!
mere anand aur ekant mein
ag lagane wale tumhare komal hath
tumhara swarg / meri duniya
prata aur pal ka antar hai
at ratarat janme swarg saundarya ki umr
gulab ke phulon se bhulane aa jana
neend ki jhapki mein sapne dekhkar
sapnon se samay ko bhulane ki mat sochna
sukhe ki yaad kar
gende aur guldaudi se cactus bhulne ki
chahat rakhne wala nahin hoon main
suraj ke Dubte hi
mujhe yaad aate hain
we pal aur sapne
ag ke jalne se nasht ujaD man
khilne lagi hain
ab nai kaliyan
wahi rang / wahi brush
usi kainwas par zindagi ko potkar
meri zindagi, mujhi ko kharidne
na aao meinka!
ek hi jhapki mein dikhe sapne se
samay ko bhulane ki mat socho
ajkal ujala hi ujale ki
ujale mein hi hattya kar raha hai
menka!
phir hattya kar raha hai!
ajkal andhera hi andhere ki
hattya kar raha hai !!
स्रोत :
पुस्तक : इस शहर में तुम्हें याद कर (पृष्ठ 80)
रचनाकार : वीरभद्र कार्कीढोली
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.