पहाड़ बनते देखा है
या नदी बनते देखी है
जंगल उगते देखा है
या सितारे को नक्षत्र में जुड़ते देखा है
दुखों के पहाड़ भी
अनदेखे खड़े हो जाते हैं
भावना की नदी भी
बिन बताए अनचाहे बहती जाती है
तने का फैलाव
और लदे फल का झुकाव
तो सब देखते हैं
पर मिट्टी के दबाव में
बीज का अंकुरण
और जड़ का संतुलन
कोई नहीं देखता
पहाड़ को उजड़ते
नदी को सूखते-भटकते
उल्का पिंडों को गिरते
और भस्म होते सबने देखा है
सच तो है कि
सारी जीवंत उत्पत्ति
दबाव में आकर उभरती है
चाहे कोख में शिशु हो
या ज़मीन के नीचे पड़े बीज का अंकुरण
सृजन दबाव का विस्तार है
पर दबाव को कोई
महसूस करना नहीं चाहता।
pahaD bante dekha hai
ya nadi bante dekhi hai
jangal ugte dekha hai
ya sitare ko nakshatr mein juDte dekha hai
dukhon ke pahaD bhi
andekhe khaDe ho jate hain
bhavna ki nadi bhi
bin bataye anchahe bahti jati hai
tane ka phailav
aur lade phal ka jhukav
to sab dekhte hain
par mitti ke dabav men
beej ka ankuran
aur jaD ka santulan
koi nahin dekhta
pahaD ko ujaDte
nadi ko sukhte bhatakte
ulka pinDon ko girte
aur bhasm hote sabne dekha hai
sach to hai ki
sari jivant utpatti
dabav mein aakar ubharti hai
chahe kokh mein shishu ho
ya zamin ke niche paDe beej ka ankuran
srijan dabav ka vistar hai
par dabav ko koi
mahsus karna nahin chahta.
pahaD bante dekha hai
ya nadi bante dekhi hai
jangal ugte dekha hai
ya sitare ko nakshatr mein juDte dekha hai
dukhon ke pahaD bhi
andekhe khaDe ho jate hain
bhavna ki nadi bhi
bin bataye anchahe bahti jati hai
tane ka phailav
aur lade phal ka jhukav
to sab dekhte hain
par mitti ke dabav men
beej ka ankuran
aur jaD ka santulan
koi nahin dekhta
pahaD ko ujaDte
nadi ko sukhte bhatakte
ulka pinDon ko girte
aur bhasm hote sabne dekha hai
sach to hai ki
sari jivant utpatti
dabav mein aakar ubharti hai
chahe kokh mein shishu ho
ya zamin ke niche paDe beej ka ankuran
srijan dabav ka vistar hai
par dabav ko koi
mahsus karna nahin chahta.
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.