ठीक अपने मालिक की तरह
उसकी उम्र की गिनती भी
पैदा होने के दिन से नहीं
काम पर आने के दिन से होती है।
बूढ़े के साथ बूढ़ी
और
जवान के साथ जवान
साइकिल की नींद में हैं
तीन चीज़
सड़क
पैर
हवा।
सड़क की नींद में जूते
पैर की नींद में घास
हवा की नींद में पत्तियाँ
साइकिल किसी की नींद में नहीं।
जैसे कि
हमारे घर में अकेली साइकिल
और साइकिल के घर में
हम-सब।
अम्मा, बुआ और भाई-बहन
कुल मिलाकर नौ
एक साथ सबको ख़ुश नहीं कर पाती।
सिर्फ़ घंटी बजने जितनी मोहलत माँगने
मेहराबदार रास्तों में
बार-बार भटकी
इतनी-इतनी चढ़ाइयाँ
कि सड़क ढली
हवा रुकी
पैर थके
साइकिल नहीं थकी।
जब तक वह घर में है
बापू की यादगार है।
theek apne malik ki tarah
uski umr ki ginti bhi
paida hone ke din se nahin
kaam par aane ke din se hoti hai
buDhe ke sath buDhi
aur
jawan ke sath jawan
cycle ki neend mein hain
teen cheez
saDak
pair
hawa
saDak ki neend mein jute
pair ki neend mein ghas
hawa ki neend mein pattiyan
cycle kisi ki neend mein nahin
jaise ki
hamare ghar mein akeli cycle
aur cycle ke ghar mein
hum sab
amma, bua aur bhai bahan
kul milakar nau
ek sath sabko khush nahin kar pati
sirf ghanti bajne jitni mohlat mangne
meharabadar raston mein
bar bar bhatki
itni itni chaDhaiyan
ki saDak Dhali
hawa ruki
pair thake
cycle nahin thaki
jab tak wo ghar mein hai
bapu ki yadgar hai
theek apne malik ki tarah
uski umr ki ginti bhi
paida hone ke din se nahin
kaam par aane ke din se hoti hai
buDhe ke sath buDhi
aur
jawan ke sath jawan
cycle ki neend mein hain
teen cheez
saDak
pair
hawa
saDak ki neend mein jute
pair ki neend mein ghas
hawa ki neend mein pattiyan
cycle kisi ki neend mein nahin
jaise ki
hamare ghar mein akeli cycle
aur cycle ke ghar mein
hum sab
amma, bua aur bhai bahan
kul milakar nau
ek sath sabko khush nahin kar pati
sirf ghanti bajne jitni mohlat mangne
meharabadar raston mein
bar bar bhatki
itni itni chaDhaiyan
ki saDak Dhali
hawa ruki
pair thake
cycle nahin thaki
jab tak wo ghar mein hai
bapu ki yadgar hai
स्रोत :
पुस्तक : तय तो यही हुआ था (पृष्ठ 26)
रचनाकार : शरद बिलौरे
प्रकाशन : परिमल प्रकाशन
संस्करण : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.