सौंदर्यमय पाप की नींव पर जमाकर ऊँचे खड़े किए गए
इस संसार-प्रासाद को तोड़-फेंकने के लिए
और उसके निर्माण में उपयोग किए गए
गलत मापदंड को प्रकट करने के लिए
बैतलहम नगरी में करुणा से परिपूर्ण हृदय वाला
एक छोटा-सा बढ़ई पैदा हुआ था।
भूमि को आँखों में खटकने-जैसी ऊँची-नीची
देखकर समान बनाने के लिए,
अँधेरे कोनों से दाँत निकालकर उपहास करने वाले शैतान को मार
भगाने के लिए, उन अँधेरी कोठरियों में स्वर्गीय प्रकाश और शांत
पवन का प्रवेश कराने के हेतु खिड़कियाँ लगाने के लिए,
भूमि को पक्षयुक्त अनुग्रह उत्पन्न करने योग्य सुकृतमय बनाने के लिए
वह व्याकुल हो उठा। और मानव की कृतघ्नता ने जाकर उसके
मापदंड को छीन लिया और दो टुकड़े कर दिया।
और उन टुकड़ों से शूली बनाई और जगत् का पावन इतिहास निर्मित
करने वाले उस शिल्पी को ही उस पर चढ़ा दिया!
हे गिरजाघर की घंटियो, तुम मधुर वेदनायुक्त गूँज से विलाप क्यों
करती हो? यह वृथा है।
मनुष्य की संस्कृति ने उसके कंकाल को इतिहास की दीवारों पर
टाँग दिया है, परंतु घंटियो, कवि का हृदय जब रोता है, तुम भी साथ
रो पड़ती हो।
saundarymay pap ki neenw par jamakar unche khaDe kiye gaye
is sansar prasad ko toD phenkne ke liye
aur uske nirman mein upyog kiye gaye
galat mapdanD ko prakat karne ke liye
baitalham nagri mein karuna se paripurn hirdai wala
ek chhota sa baDhai paida hua tha
bhumi ko ankhon mein khatakne jaisi unchi nichi
dekhkar saman banane ke liye,
andhere konon se dant nikalkar uphas karne wale shaitan ko mar
bhagane ke liye, un andheri kothariyon mein saurgiyah parkash aur shant
pawan ka prawesh karane ke hetu khiDkiyan lagane ke liye,
bhumi ko pakshyukt anugrah utpann karne yogya sukritmay banane ke liye
wo wyakul ho utha aur manaw ki kritaghnata ne jakar uske
mapdanD ko chheen liya aur do tukDe kar diya
aur un tukDon se shuli banai aur jagat ka pawan itihas nirmit
karne wale us shilpi ko hi us par chaDha diya!
he girjaghar ki ghantiyo, tum madhur wednayukt goonj se wilap kyon
karti ho? ye writha hai
manushya ki sanskriti ne uske kankal ko itihas ki diwaron par
tang diya hai, parantu ghantiyo, kawi ka hirdai jab rota hai, tum bhi sath
ro paDti ho

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1953 (पृष्ठ 499)
रचनाकार : जी. शंकर कुरुप
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.