कितना बोलती हैं
मौक़ा मिलते ही
फ़व्वारों-सी फूटती हैं
घर-बाहर की
कितनी
कहानियाँ सुनाती हैं
फिर भी नहीं बोल पातीं
मन की बातें
छोटे शहर की लड़कियाँ
भूचाल हैं
सपनों में
लावा गर्म बहता
गहरी सुरंगों वाला आस्मान है
जिसमें से झाँकते
टिमटिमाते तारे
कुछ कह जाते हैं
मुस्कुराती हैं
तो रंग-बिरंगी साड़ियाँ क़मीज़ें
सिमट आती हैं
होंठों तक
रोती हैं
तो बीच कमरे खड़े-खड़े
जाने किन कोनों में दुबक जाती हैं
जहाँ उन्हें कोई नहीं पकड़ सकता
एक दिन
क्या करूँ
आप ही बतलाइए
क्या करूँ
कहती
उठ पड़ेंगी
मुट्ठियाँ भींच लेंगी
बरस पड़ेंगी मर्दों पर
कभी नहीं हटेंगी
फिर सड़कों पर
छोटे शहर की लड़कियाँ
भागेंगी, सरपट दौड़ेंगी
सबको शर्म में डुबोकर
खिलखिलाकर हँसेंगी
एक दिन पौ-सी फटेंगी
छोटे शहर की लड़कियाँ।
kitna bolti hain
mauqa milte hi
fawwaron si phutti hain
ghar bahar ki
kitni
kahaniyan sunati hain
phir bhi nahin bol patin
man ki baten
chhote shahr ki laDkiyan
bhuchal hain
sapnon mein
lawa garm bahta
gahri surangon wala asman hai
jismen se jhankte
timtimate tare
kuch kah jate hain
muskurati hain
to rang birangi saDiyan qamizen
simat aati hain
honthon tak
roti hain
to beech kamre khaDe khaDe
jane kin konon mein dubak jati hain
jahan unhen koi nahin pakaD sakta
ek din
kya karun
ap hi batlaiye
kya karun
kahti
uth paDengi
mutthiyan bheench lengi
baras paDengi mardon par
kabhi nahin hatengi
phir saDkon par
chhote shahr ki laDkiyan
bhagengi, sarpat dauDengi
sabko sharm mein Dubokar
khilakhilakar hansengi
ek din pau si phatengi
chhote shahr ki laDkiyan
kitna bolti hain
mauqa milte hi
fawwaron si phutti hain
ghar bahar ki
kitni
kahaniyan sunati hain
phir bhi nahin bol patin
man ki baten
chhote shahr ki laDkiyan
bhuchal hain
sapnon mein
lawa garm bahta
gahri surangon wala asman hai
jismen se jhankte
timtimate tare
kuch kah jate hain
muskurati hain
to rang birangi saDiyan qamizen
simat aati hain
honthon tak
roti hain
to beech kamre khaDe khaDe
jane kin konon mein dubak jati hain
jahan unhen koi nahin pakaD sakta
ek din
kya karun
ap hi batlaiye
kya karun
kahti
uth paDengi
mutthiyan bheench lengi
baras paDengi mardon par
kabhi nahin hatengi
phir saDkon par
chhote shahr ki laDkiyan
bhagengi, sarpat dauDengi
sabko sharm mein Dubokar
khilakhilakar hansengi
ek din pau si phatengi
chhote shahr ki laDkiyan
स्रोत :
रचनाकार : लाल्टू
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.