यह जो तप-तपकर
मेरी देह पर चढ़ रहा है
यह बुख़ार नहीं हो सकता
मुझे यक़ीन है मुझे तुमसे
कभी प्यार नहीं हो सकता
जब भी दिख जाओ कहीं तुम
एक बंद पड़े कमरे में सीलन लग जाती है
अपने ही जिस्म से मुझे बदबू आती है
तुम्हें महसूस करके
जैसे मेरे भीतर किसी शौचालय में
एक साथ फैल गए हों
पेशाब और टट्टी—
हज़ारों लोगों के
एक काला-सा सन्नाटा पसर जाता है
जहाँ जलने लगती हूँ
मैं तेज़ाब की गंध से
एक आधे भरे शराब के गिलास में
तैरती, डूबती, एक मक्खी जैसा महसूस करती हूँ मैं
और उस गिलास के शीशे
अंदर धँसते जाते हैं
मेरी पसलियों, मेरी आँखों, मेरे गुर्दों में,
लेकिन जानते हो?
ये गंध, ये सन्नाटे, ये ज़ख़्म,
आज बस मेरे लिए हैं...
तुम अधजली एक सिगरेट रख दो
मेरे पैरों के पास,
ओढ़ लूँ आज उसे मैं और दिखावा करूँ
गहरी नींद का उसके धुएँ से लिपटकर,
उड़ेल दो यह शराब मेरे तकिये पर
और बहने दो इसका नशा आज
मेरे सपनों में
आओ...
ye jo tap tapkar
meri deh par chaDh raha hai
ye bukhar nahin ho sakta
mujhe yaqin hai mujhe tumse
kabhi pyar nahin ho sakta
jab bhi dikh jao kahin tum
ek band paDe kamre mein silan lag jati hai
apne hi jism se mujhe badbu aati hai
tumhein mahsus karke
jaise mere bhitar kisi shauchalay mein
ek sath phail gaye hon
peshab aur tatti—
hazaron logon ke
ek kala sa sannata pasar jata hai
jahan jalne lagti hoon
main tezab ki gandh se
ek aadhe bhare sharab ke gilas mein
tairti, Dubti, ek makkhi jaisa mahsus karti hoon main
aur us gilas ke shishe
andar dhanste jate hain
meri pasaliyon, meri ankhon, mere gurdon mein,
lekin jante ho?
ye gandh, ye sannate, ye zakhm,
aj bus mere liye hain
tum adhajli ek cigarette rakh do
mere pairon ke pas,
oDh loon aaj use main aur dikhawa karun
gahri neend ka uske dhuen se lipatkar,
uDel do ye sharab mere takiye par
aur bahne do iska nasha aaj
mere sapnon mein
ao
ye jo tap tapkar
meri deh par chaDh raha hai
ye bukhar nahin ho sakta
mujhe yaqin hai mujhe tumse
kabhi pyar nahin ho sakta
jab bhi dikh jao kahin tum
ek band paDe kamre mein silan lag jati hai
apne hi jism se mujhe badbu aati hai
tumhein mahsus karke
jaise mere bhitar kisi shauchalay mein
ek sath phail gaye hon
peshab aur tatti—
hazaron logon ke
ek kala sa sannata pasar jata hai
jahan jalne lagti hoon
main tezab ki gandh se
ek aadhe bhare sharab ke gilas mein
tairti, Dubti, ek makkhi jaisa mahsus karti hoon main
aur us gilas ke shishe
andar dhanste jate hain
meri pasaliyon, meri ankhon, mere gurdon mein,
lekin jante ho?
ye gandh, ye sannate, ye zakhm,
aj bus mere liye hain
tum adhajli ek cigarette rakh do
mere pairon ke pas,
oDh loon aaj use main aur dikhawa karun
gahri neend ka uske dhuen se lipatkar,
uDel do ye sharab mere takiye par
aur bahne do iska nasha aaj
mere sapnon mein
ao
स्रोत :
रचनाकार : मौलश्री कुलकर्णी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.