मैं उन मर्दों की जमात में नहीं होना चाहता था
जो अपनी औरतों के क़िस्से उड़ाते
शराब में डूबकर दुनिया को
चुटकी में तबाह कर देते
मगर हुआ।
उन मर्दों से भी बचता रहा मैं
जो जादूगर होने का भ्रम रखते थे
वे अपने रूमाल में कुंठाओं को समेटकर
कबूतर निकालने का भ्रम रचते
और सिवाय टूटे पंखों के कुछ हासिल नहीं होता
मुझे भी नहीं।
मैं अपनी बारी की प्रतीक्षा में खड़े
उस आदमी-सा होना चाहता था
जो लंबी भीड़ और पसीने में भी
दुनिया के बारे में बेहतर सोचता रहा।
साइकिल पर बिठाकर अपनी प्रेमिका को
दुनिया की सैर करवाने का ख़याल जैसे।
main un mardon ki jamat mein nahin hona chahta tha
jo apni aurton ke qisse uDate
sharab mein Dubkar duniya ko
chutki mein tabah kar dete
magar hua
un mardon se bhi bachta raha main
jo jadugar hone ka bhram rakhte the
we apne rumal mein kunthaon ko sametkar
kabutar nikalne ka bhram rachte
aur siway tute pankhon ke kuch hasil nahin hota
mujhe bhi nahin
main apni bari ki pratiksha mein khaDe
us adami sa hona chahta tha
jo lambi bheeD aur pasine mein bhi
duniya ke bare mein behtar sochta raha
cycle par bithakar apni premika ko
duniya ki sair karwane ka khayal jaise
main un mardon ki jamat mein nahin hona chahta tha
jo apni aurton ke qisse uDate
sharab mein Dubkar duniya ko
chutki mein tabah kar dete
magar hua
un mardon se bhi bachta raha main
jo jadugar hone ka bhram rakhte the
we apne rumal mein kunthaon ko sametkar
kabutar nikalne ka bhram rachte
aur siway tute pankhon ke kuch hasil nahin hota
mujhe bhi nahin
main apni bari ki pratiksha mein khaDe
us adami sa hona chahta tha
jo lambi bheeD aur pasine mein bhi
duniya ke bare mein behtar sochta raha
cycle par bithakar apni premika ko
duniya ki sair karwane ka khayal jaise
स्रोत :
रचनाकार : निखिल आनंद गिरि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.