भूरे बियाबान को मिट्ठू छोड़ चले
उड़ना चाहती हैं पहाड़ों की भी कतारें तलहटी उठाए
रोप दी हैं डालियों ने बरोहें* मेरी आँखों की थाह तक
डंठल... डंठल का स्पर्श है अभी
पत्ते... पत्तों की टुनगियाँ कह रही हैं ज़मीन से दूर हटो दूर हटो
और कहती हैं नीचे बना दो खोखल, सहा नहीं जाता।
उड़ जाने दो सारे पत्ते... भूरे सारे
बनाकर खत्ता दसों दिशाओं का एक, उसकी ओर
बनकर ओठों की सीटी निढालपने की, एक ही
छप जाने दो सारे अस्फुट इन डंठलों-डंठलों में
एक ही पेड़ के इस पतझड़ से भर जाने दो
सारा फ़ासला होने और है के बीच का तेरे और मेरे
पत्ते नहीं होंगे और लगेंगे ढेर
टूटकर झरने वाले इन पत्तों के भूरे।
आँखें जन्मांध की संचित कर रखती हैं घेरे पृथ्वी को तौलनेवाले अँधेरे के
उतने ढेर करूँगा जमा, आँखों की गहराई में लेते हुए बरोहों को
पिलाऊँगा अपनी अंजुरी से तुम्हें वह बेला,
तब तक तो रुको। बैठो भींचकर अपनी हवाएँ, अपनी प्यास।
रहने दो पेड़ को यों आँखों की थाह में मेरी सिसकते हुए,
दूर हटो दूर हटो ज़मीन से कह रहे पत्ते
सँभालते हुए तैरते-डोलते मिट्टुओं के झुंड।
bhure biyaban ko mitthu chhoD chale
uDna chahti hain pahaDon ki bhi kataren talahti uthaye
rop di hain Daliyon ne barohen* meri ankhon ki thah tak
Danthal Danthal ka sparsh hai abhi
patte patton ki tunagiyan kah rahi hain zamin se door hato door hato
aur kahti hain niche bana do khokhal, saha nahin jata
uD jane do sare patte bhure sare
banakar khatta dason dishaon ka ek, uski or
bankar othon ki siti niDhalapne ki, ek hi
chhap jane do sare asphut in Danthlon Danthlon mein
ek hi peD ke is patjhaD se bhar jane do
sara fasla hone aur hai ke beech ka tere aur mere
patte nahin honge aur lagenge Dher
tutkar jharne wale in patton ke bhure
ankhen janmandh ki sanchit kar rakhti hain ghere prithwi ko taulnewale andhere ke
utne Dher karunga jama, ankhon ki gahrai mein lete hue barohon ko
pilaunga apni anjuri se tumhein wo bela,
tab tak to ruko baitho bhinchkar apni hawayen, apni pyas
rahne do peD ko yon ankhon ki thah mein meri sisakte hue,
door hato door hato zamin se kah rahe patte
sambhalte hue tairte Dolte mittuon ke jhunD
*baroh ha bargad ki jatayen

स्रोत :
पुस्तक : देखणी (पृष्ठ 11)
रचनाकार : भालचंद्र नेमाड़े
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.