इतनी  तीव्र  थी  बुभुक्षा  कि  मैं  फूल  चबाती  थी  अड़हुल  के  
वहीं  जहाँ  गूँथते  थे  तुम  गजरे  मेरे  केशों  के  लिए  
और  मेरी  आँखों  में  घुले  काजल  पर  रीझ-रीझ  उठते  थे  
आसमान  से  गिरती  थीं  बूँदे  और  धूल  में  मिल  जाती  थीं  
धूल  से  ही  भरी  थी  एड़ियाँ  जिन्हें  थाम  लेते  थे  हथेली  में  
उठती  थी  तो  कलाई  थाम  लेते  थे  तुम  
न  जाने  की  लगाते  थे  गुहार  
साये  की  तरह  संग-संग  डोलते  थे  
मुझको  देखते  थे  जीवन  के  सबसे  सुंदर  दृश्य  की  तरह  
तुम्हारे  सीने  में  फड़फड़ाते  कबूतर  फूल  उठते  थे  मेरी  गरदन  की  नसें  देखकर  
कलाई  की  नीली  नसें  तुम्हारा  मन  मोहती  थीं  
इतनी  तीव्र  उठती  थी  कामना  कि  तुम  से  मुझ  तक  घुमड़ती  थी  
पानी  से  भरी  बदली  बनकर  
फिर  भी  कब  जूठे  किए  थे  होंठ...  कभी  भी  तो  नहीं  
रहे  प्यास  से  भरे  बरसों  और  वैसे  ही  छूट  गए  थे  एक  रोज़  
हम  कब  उतरे  थे  उस  मधुवन  में  
जहाँ  संसार  उतर  जाता  है  क्षण  भर  में।  
                itni  teewr  thi  bubhuksha  ki  main  phool  chabati  thi  aDahul  ke  
wahin  jahan  gunthate  the  tum  gajre  mere  keshon  ke  liye  
aur  meri  ankhon  mein  ghule  kajal  par  reejh  reejh  uthte  the  
asman  se  girti  theen  bunde  aur  dhool  mein  mil  jati  theen  
dhool  se  hi  bhari  thi  eDiyan  jinhen  tham  lete  the  hatheli  mein  
uthti  thi  to  kalai  tham  lete  the  tum  
na  jane  ki  lagate  the  guhar  
saye  ki  tarah  sang  sang  Dolte  the  
mujhko  dekhte  the  jiwan  ke  sabse  sundar  drishya  ki  tarah  
tumhare  sine  mein  phaDphaDate  kabutar  phool  uthte  the  meri  gardan  ki  nasen  dekhkar  
kalai  ki  nili  nasen  tumhara  man  mohti  theen  
itni  teewr  uthti  thi  kamna  ki  tum  se  mujh  tak  ghumaDti  thi  
pani  se  bhari  badli  bankar  
phir  bhi  kab  juthe  kiye  the  honth  kabhi  bhi  to  nahin  
rahe  pyas  se  bhare  barson  aur  waise  hi  chhoot  gaye  the  ek  roz  
hum  kab  utre  the  us  madhuwan  mein  
jahan  sansar  utar  jata  hai  kshan  bhar  mein  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : वियोगिनी ठाकुर 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.