जब निराशा का अँधेरा घिरने लगेगा
और उग आएँगे दुखों के अभेद्य बीहड़
ऐसे में जब तुम्हारी करुणा का बादल
ढँक लेना चाहेगा मुझे शीतल आँचल की तरह
मैं लौटा दूँगा उसे
कि मुझे सह लेने दो
जो तुमने अब तक सहा है
उम्र की किसी दहलीज़ पर
जब थमने लगेगा साँसों का ज्वार
जीवन के निर्जन मरुस्थल में
अलक्षित कर दी गईं
किन्हीं प्राचीन दंतकथाओं-सी
भटकेंगी जब कामनाएँ
तब अपनी थकन लिए
मैं चला जाऊँगा
तुम्हारी दया की हरीतिमा से भी दूर
वहाँ—
जहाँ कोई नहीं जाना चाहेगा!
अपने अवसाद के घर में
मैं बचाकर रखूँगा थोड़ा-सा संगीत
किसी याद में लिखी गई पवित्र कविताएँ
कुछ शरारत भरे क्षणों की स्मृति
और धुँधली पड़ गई कुछ चिट्ठियाँ,
फिर एक दिन
मृत्यु की अनसुनी पुकार पर
चुपचाप उठकर यूँ चल दूँगा
कि किसी को पता ही न चले
कि कभी मैं था
कि मेरे साथ दुखभरी अनेक गाथाएँ थीं
प्रेम था, प्रणति थी...
मैं इस तरह चला जाऊँगा
कि फिर बहुत दिनों तक
किसी को याद नहीं आऊँगा!
jab nirasha ka andhera ghirne lagega
aur ug ayenge dukhon ke abhedy bihaD
aise mein jab tumhari karuna ka badal
Dhank lena chahega mujhe shital anchal ki tarah
main lauta dunga use
ki mujhe sah lene do
jo tumne ab tak saha hai
umr ki kisi dahliz par
jab thamne lagega sanson ka jwar
jiwan ke nirjan marusthal mein
alakshait kar di gain
kinhin prachin dantakthaon si
bhatkengi jab kamnayen
tab apni thakan liye
main chala jaunga
tumhari daya ki haritima se bhi door
wahan—
jahan koi nahin jana chahega!
apne awsad ke ghar mein
main bachakar rakhunga thoDa sa sangit
kisi yaad mein likhi gai pawitra kawitayen
kuch shararat bhare kshnon ki smriti
aur dhundhli paD gai kuch chitthiyan,
phir ek din
mirtyu ki anasuni pukar par
chupchap uthkar yoon chal dunga
ki kisi ko pata hi na chale
ki kabhi main tha
ki mere sath dukhabhri anek gathayen theen
prem tha, pranati thi
main is tarah chala jaunga
ki phir bahut dinon tak
kisi ko yaad nahin aunga!
jab nirasha ka andhera ghirne lagega
aur ug ayenge dukhon ke abhedy bihaD
aise mein jab tumhari karuna ka badal
Dhank lena chahega mujhe shital anchal ki tarah
main lauta dunga use
ki mujhe sah lene do
jo tumne ab tak saha hai
umr ki kisi dahliz par
jab thamne lagega sanson ka jwar
jiwan ke nirjan marusthal mein
alakshait kar di gain
kinhin prachin dantakthaon si
bhatkengi jab kamnayen
tab apni thakan liye
main chala jaunga
tumhari daya ki haritima se bhi door
wahan—
jahan koi nahin jana chahega!
apne awsad ke ghar mein
main bachakar rakhunga thoDa sa sangit
kisi yaad mein likhi gai pawitra kawitayen
kuch shararat bhare kshnon ki smriti
aur dhundhli paD gai kuch chitthiyan,
phir ek din
mirtyu ki anasuni pukar par
chupchap uthkar yoon chal dunga
ki kisi ko pata hi na chale
ki kabhi main tha
ki mere sath dukhabhri anek gathayen theen
prem tha, pranati thi
main is tarah chala jaunga
ki phir bahut dinon tak
kisi ko yaad nahin aunga!
स्रोत :
रचनाकार : उत्पल बैनर्जी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.