सुबह के सूरज का लाल गोल चक्का
देखा था बार-बार
घर के आँगन से
बाबा के कंधे पर होकर सवार
वे बचपन के कितने कोमल दिन थे
अब युवा हूँ मैं मगर
वह लाल गोल चक्का दहक रहा है
मेरी स्मृतियों में नन्हा नाज़ुक
फूल बनकर
वे दिन झर रहे हैं हरसिंगार की तरह
जब मैं गिलहरियों के पीछे भागा करता था
ठीक गिलहरियों की तरह
मुझे याद आ रहे हैं वे सवाल
पाँचवीं कक्षा के
जो मैंने पूछे थे
अपने वर्ग शिक्षक से
कि नन्हा कोमल ख़रगोश तेज़ क्यों दौड़ता है
क्यों नहीं होते गधे के सिंग
कि राक्षस क्यों हार जाता है
बड़ा और बलवान होने के बावज़ूद
मेरे कानों में अब भी बची है अनुगूँज
जतसार की
जिसे माँ गाती थी
विरहा—जिसे गाता था
गाँव का यार
मेरी जीभ पर अब भी तैर रहा है स्वाद
पके छितराए जामुन का
जिन्हें खाते ही स्याही पुत जाती थी
मेरे अंदर अब भी साबुत
ज़िंदा बचा है बचपन!
subah ke suraj ka laal gol chakka
dekha tha baar baar
ghar ke angan se
baba ke kandhe par hokar savar
ve bachpan ke kitne komal din the
ab yuva hoon main magar
wo laal gol chakka dahak raha hai
meri smritiyon mein nanha nazuk
phool bankar
ve din jhar rahe hain harsingar ki tarah
jab main gilahariyon ke pichhe bhaga karta tha
theek gilahariyon ki tarah
mujhe yaad aa rahe hain ve saval
panchavin kaksha ke
jo mainne puchhe the
apne varg shikshak se
ki nanha komal khargosh tez kyon dauDta hai
kyon nahin hote gadhe ke sing
ki rakshas kyon haar jata hai
baDa aur balvan hone ke bavzud
mere kanon mein ab bhi bachi hai anugunj
jatsar ki
jise maan gati thi
virha—jise gata tha
gaanv ka yaar
meri jeebh par ab bhi tair raha hai svaad
pake chhitraye jamun ka
jinhen khate hi syahi put jati thi
mere andar ab bhi sabut
zinda bacha hai bachpan!
subah ke suraj ka laal gol chakka
dekha tha baar baar
ghar ke angan se
baba ke kandhe par hokar savar
ve bachpan ke kitne komal din the
ab yuva hoon main magar
wo laal gol chakka dahak raha hai
meri smritiyon mein nanha nazuk
phool bankar
ve din jhar rahe hain harsingar ki tarah
jab main gilahariyon ke pichhe bhaga karta tha
theek gilahariyon ki tarah
mujhe yaad aa rahe hain ve saval
panchavin kaksha ke
jo mainne puchhe the
apne varg shikshak se
ki nanha komal khargosh tez kyon dauDta hai
kyon nahin hote gadhe ke sing
ki rakshas kyon haar jata hai
baDa aur balvan hone ke bavzud
mere kanon mein ab bhi bachi hai anugunj
jatsar ki
jise maan gati thi
virha—jise gata tha
gaanv ka yaar
meri jeebh par ab bhi tair raha hai svaad
pake chhitraye jamun ka
jinhen khate hi syahi put jati thi
mere andar ab bhi sabut
zinda bacha hai bachpan!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.