जो है बस उतना भी बचा रहे
पाँव के नीचे की मिट्टी
सर पर खुला आकाश
सीने में कसने भर खुली हवा
आपसी संबंधों में
बनी रहे उष्मा इतनी कि
बची रहे दिलचस्पी
जीवन में संसार में
स्त्री में एक माँ बची रहे
बचा रहे पुरूष में एक पिता
बचपन बचा रहे एक बच्चे में
दोस्ती बची रहे
प्रेम बचा रहे
आँखों में पानी बचा रहे
चेहरे में नमक
लहू में लोहा बचा रहे
उमंग आशा और स्वप्न
के अर्थ और प्रयोजन बचे रहें
साथ न भी रहे
स्मृति में बचा रहे
नदी पहाड़ फूल पखेरु
जंगल झरना
गीत संगीत।
jo hai bas utna bhi bacha rahe
paanv ke niche ki mitti
sar par khula akash
sine mein kasne bhar khuli hava
aapsi sambandhon mein
bani rahe ushma itni ki
bachi rahe dilchaspi
jivan mein sansar mein
stri mein ek maan bachi rahe
bacha rahe purush mein ek pita
bachpan bacha rahe ek bachche mein
dosti bachi rahe
prem bacha rahe
ankhon mein pani bacha rahe
chehre mein namak
lahu mein loha bacha rahe
umang aasha aur svapn
ke arth aur prayojan bache rahen
saath na bhi rahe
smriti mein bacha rahe
nadi pahaD phool pakheru
jangal jharna
geet sangit.
jo hai bas utna bhi bacha rahe
paanv ke niche ki mitti
sar par khula akash
sine mein kasne bhar khuli hava
aapsi sambandhon mein
bani rahe ushma itni ki
bachi rahe dilchaspi
jivan mein sansar mein
stri mein ek maan bachi rahe
bacha rahe purush mein ek pita
bachpan bacha rahe ek bachche mein
dosti bachi rahe
prem bacha rahe
ankhon mein pani bacha rahe
chehre mein namak
lahu mein loha bacha rahe
umang aasha aur svapn
ke arth aur prayojan bache rahen
saath na bhi rahe
smriti mein bacha rahe
nadi pahaD phool pakheru
jangal jharna
geet sangit.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.