सर्दी के दिनों में जो प्रेम शुरू हुआ
वह बहुत सारे कपड़े पहने हुए था
उसे बार-बार बर्फ़ में रास्ता बनाना पड़ता था
और आग उसे अपनी ओर खींचती रहती थी
जब बर्फ़ पिघलना शुरू हुई तो वह पानी की तरह
हल्की चमक लिए हुए कुछ दूर तक बहता हुआ दिखा
फिर अप्रैल के महीने में जऱा-सी एक छुवन
जिसके नतीजे में होंठ पैदा होते रहे
बरसात के मौसम में वह तरबतर होना चाहता था
बारिशें बहुत कम हो चली थीं और पृथ्वी उबल रही थी
तब भी वह इसरार करता चलो भीगा जाए
यह और बात है कि अक्सर उसे ज़ुकाम जकड़ लेता
अक्टूबर की हवा में जैसा कि होता है
वह किसी टहनी की तरह नर्म और नाज़ुक हो गया
जिसे कोई तोड़ना चाहता तो यह बहुत आसान था
मैं अच्छी तरह जानता हूँ कि यह प्रेम है
पतझड़ के आते ही वह इस तरह दिखेगा
जैसे किसी पेड़ से गिरा हुआ पीला पत्ता।
sardi ke dinon mein jo prem shuru hua
wo bahut sare kapDe pahne hue tha
use bar bar barf mein rasta banana paDta tha
aur aag use apni or khinchti rahti thi
jab barf pighalna shuru hui to wo pani ki tarah
halki chamak liye hue kuch door tak bahta hua dikha
phir april ke mahine mein jara si ek chhuwan
jiske natije mein honth paida hote rahe
barsat ke mausam mein wo tarabtar hona chahta tha
barishen bahut kam ho chali theen aur prithwi ubal rahi thi
tab bhi wo israr karta chalo bhiga jaye
ye aur baat hai ki aksar use zukam jakaD leta
october ki hawa mein jaisa ki hota hai
wo kisi tahni ki tarah narm aur nazuk ho gaya
jise koi toDna chahta to ye bahut asan tha
main achchhi tarah janta hoon ki ye prem hai
patjhaD ke aate hi wo is tarah dikhega
jaise kisi peD se gira hua pila patta

स्रोत :
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.