कूड़ा सभी फैला रहे हैं
कूड़ा फैल ही रहा
ख़ाली जगहों पर, ख़यालों में
और ज़ेहन में फैलता ही जा रहा यह
गर यही रफ़्तार रही
तो ज़्यादा देर नहीं लगेगी दुनिया को कूड़े में बदलने में
ऐसा नहीं कि कोई मजबूरी हो
लोग-बाग शौक़िया फैला रहे हैं कूड़ा
कोई अख़बार में
कोई प्रगतिशीलता में
कोई किताब में
कोई शिलालेख में
फैला ही रहा है कूड़ा
कूड़े की क़िस्में भी बेशुमार हैं
धार्मिक, सामाजिक, सांस्कृतिक
तकनीकी, मनोवैज्ञानिक और शैक्षणिक
और राजनैतिक कूड़े का ज़िक्र ही क्या किया जाए
ग़र्ज़ ये कि
गुज़र बसर करते हम यार कूड़े के इर्द-गिर्द
अब किससे कहें कि हटाओ बहुत हो चुका
कूड़े ने जहन्नुम बनाकर रख दी है
ये ज़िंदगी
kuDa sabhi phaila rahe hain
kuDa phail hi raha
khali jaghon par, khayalon mein
aur zehn mein phailta hi ja raha ye
gar yahi raftar rahi
to zyada der nahin lagegi duniya ko kuDe mein badalne mein
aisa nahin ki koi majburi ho
log bag shauqiya phaila rahe hain kuDa
koi akhbar mein
koi pragatishilta mein
koi kitab mein
koi shilalekh mein
phaila hi raha hai kuDa
kuDe ki qismen bhi beshumar hain
dharmik, samajik, sanskritik
takniki, manowaigyanik aur shaikshanaik
aur rajanaitik kuDe ka zikr hi kya kiya jaye
gharz ye ki
guzar basar karte hum yar kuDe ke ird gird
ab kisse kahen ki hatao bahut ho chuka
kuDe ne jahannum banakar rakh di hai
ye zindagi
kuDa sabhi phaila rahe hain
kuDa phail hi raha
khali jaghon par, khayalon mein
aur zehn mein phailta hi ja raha ye
gar yahi raftar rahi
to zyada der nahin lagegi duniya ko kuDe mein badalne mein
aisa nahin ki koi majburi ho
log bag shauqiya phaila rahe hain kuDa
koi akhbar mein
koi pragatishilta mein
koi kitab mein
koi shilalekh mein
phaila hi raha hai kuDa
kuDe ki qismen bhi beshumar hain
dharmik, samajik, sanskritik
takniki, manowaigyanik aur shaikshanaik
aur rajanaitik kuDe ka zikr hi kya kiya jaye
gharz ye ki
guzar basar karte hum yar kuDe ke ird gird
ab kisse kahen ki hatao bahut ho chuka
kuDe ne jahannum banakar rakh di hai
ye zindagi
स्रोत :
रचनाकार : नरेंद्र जैन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए अच्युतानंद मिश्र द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.