‘माँ’ कहती थी
तू पढ़ेगा तो
मेरा पेट कौन भरेगा?
मज़दूरी कौन करेगा?
सौतेले बाप ने
इसी बिना पर
मार-पीट कर
घर से बाहर
किया था
कि मैं पढ़ना चाहूँगा
हर हाल में।
सो वह ईर्ष्या से
भरा रहता था
जैसे विष से भरा
रहता है साँप का दंश।
साली रंडी
लुच्ची, छिनार
ग़ेर-ज़िम्मेदार ज़ुबान
और गंदा शब्द-भंडार
और उस पर
जानवर-सी मार
‘माँ’ की देह
और मेरे दिमाग़ पर
वर्षों तक पड़ी थी।
वह शायद ज़ुल्म
कुछ कम करता
यदि मैं नहीं पढ़ता
मैं नहीं पढ़ता
तो क्या करा पाता
माँ का इलाज
जो नहीं करा पाता
पढ़ने के कारण भी।
मैं नहीं पढ़ता
तो नहीं मरती माँ
असमय ही,
कैसे बचा पाता
मजूरी से भी नहीं
बचा पाया मजूर भाई भी।
मैं कहता था
अक्षर-अक्षर के बदले
दूँगा रक्त की बूँदें।
जिस व्यक्ति ने
दिलाया दाख़िला, रखा
अपने बेटे के तरह
उसका ख़ूब काम किया मैंने
बिना दाम लिए
वर्षों तक खेत
चलाई हैरो
काटी फ़सल
बोए बीज
और कुशल मजूरी भी
और जब
दो दशकों की तपस्या
आत्मसंघर्ष
से जन्मा थोड़ा सुख
रोटी का ज़रिया
सम्मान की संभावना
तब नौकरी मिलने के ठीक एक दिन पहले
‘माँ’ ने मूँद लीं आँखें—
और हो गई अलविदा
मैं जब पहुँचा गाँव
तब तक बुझ चुकी थी
‘चिता’।
‘man’ kahti thi
tu paDhega to
mera pet kaun bharega?
mazduri kaun karega?
sautele bap ne
isi bina par
mar peet kar
ghar se bahar
kiya tha
ki main paDhna chahunga
har haal mein
so wo irshya se
bhara rahta tha
jaise wish se bhara
rahta hai sanp ka dansh
sali ranDi
luchchi, chhinar
gher zimmedar zuban
aur ganda shabd bhanDar
aur us par
janwar si mar
‘man’ ki deh
aur mere dimagh par
warshon tak paDi thi
wo shayad zulm
kuch kam karta
yadi main nahin paDhta
main nahin paDhta
to kya kara pata
man ka ilaj
jo nahin kara pata
paDhne ke karan bhi
main nahin paDhta
to nahin marti man
asamay hi,
kaise bacha pata
majuri se bhi nahin
bacha paya majur bhai bhi
main kahta tha
akshar akshar ke badle
dunga rakt ki bunden
jis wekti ne
dilaya dakhila, rakha
apne bete ke tarah
uska khoob kaam kiya mainne
bina dam liye
warshon tak khet
chalai hairo
kati fasal
boe beej
aur kushal majuri bhi
aur jab
do dashkon ki tapasya
atmsangharsh
se janma thoDa sukh
roti ka zariya
samman ki sambhawna
tab naukari milne ke theek ek din pahle
‘man’ ne moond leen ankhen—
aur ho gai alawida
main jab pahuncha ganw
tab tak bujh chuki thi
‘chita’
‘man’ kahti thi
tu paDhega to
mera pet kaun bharega?
mazduri kaun karega?
sautele bap ne
isi bina par
mar peet kar
ghar se bahar
kiya tha
ki main paDhna chahunga
har haal mein
so wo irshya se
bhara rahta tha
jaise wish se bhara
rahta hai sanp ka dansh
sali ranDi
luchchi, chhinar
gher zimmedar zuban
aur ganda shabd bhanDar
aur us par
janwar si mar
‘man’ ki deh
aur mere dimagh par
warshon tak paDi thi
wo shayad zulm
kuch kam karta
yadi main nahin paDhta
main nahin paDhta
to kya kara pata
man ka ilaj
jo nahin kara pata
paDhne ke karan bhi
main nahin paDhta
to nahin marti man
asamay hi,
kaise bacha pata
majuri se bhi nahin
bacha paya majur bhai bhi
main kahta tha
akshar akshar ke badle
dunga rakt ki bunden
jis wekti ne
dilaya dakhila, rakha
apne bete ke tarah
uska khoob kaam kiya mainne
bina dam liye
warshon tak khet
chalai hairo
kati fasal
boe beej
aur kushal majuri bhi
aur jab
do dashkon ki tapasya
atmsangharsh
se janma thoDa sukh
roti ka zariya
samman ki sambhawna
tab naukari milne ke theek ek din pahle
‘man’ ne moond leen ankhen—
aur ho gai alawida
main jab pahuncha ganw
tab tak bujh chuki thi
‘chita’
स्रोत :
पुस्तक : दलित निर्वाचित कविताएँ (पृष्ठ 94)
संपादक : कँवल भारती
रचनाकार : श्योराज सिंह बेचैन
प्रकाशन : इतिहासबोध प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.