मैं अपनी तुलना
गिरि-शिखर से निरंतर नीचे गिरती
किसी निर्झरिणी से करना चाहता हूँ
मुझे उचित ही संकोच होता है
सरिता का आवेग और मुखरित स्वर
मैं अपने लिए कहाँ से लाऊँगा?
मैं अपनी समानता
भादो के किसी उन्मत्त मेघ से
करना चाहता हूँ
मुझे तब भी संकोच होता है
दैन्य मढ़े चेहरे पर
मद और मस्ती की वह प्रलयंकर मुद्रा
मैं कैसे चिपकाऊँगा
कैसे कर सकूँगा मैं
किसी शिरोरुह को क्षत-विक्षत?
मैं अपनी बराबरी
किसी लक्ष्यहीन,
उल्कापिंड से करना चाहता हूँ
मेरे आँगन का शाश्वत अँधेरा
तब भी मुझसे व्यंग्य करता है
परिस्थिति के तले दबा
वैसे मैं ही अकेला नहीं हूँ
ऐसे दूसरे लोग भी हैं
जो गिरोह में बैठकर भी
गिरोह के व्याकरण को नहीं जानते
अपने लिए कोई गिरोह नहीं बना पाते।
हँसना मुझे अपराध लगता है
किसी भयंकर ख़बर की आशंका
मुझे बेचैन किए रहती है
ख़तरे में पड़े अपने लोगों की बाँहों के घेरे
मेरे लिए कभी छोटे नहीं पड़ते
मुझे हमेशा याद रहता है
कि अन्याय के विरोध से ही
मेरे अपराध की डायरी शुरू हो जाती है।
मैं आततायियों का सहगामी रहा हूँ
गाँव-गाँव, नगर-नगर
निरर्थक भटकता रहा हूँ
सामूहिक हत्या के बीच
बेटे के लिए खिलौने खरीदना
मेरी एकांत विवशता रही है।
आत्मदया का अभिनय करते हुए
मेरी अच्छी-सी आकृति
विकृति में बदल गई है
मैं किसी दिन पेड़-पौधों की बातें
भरपूर करना चाहता हूँ
मेरा—
भाषा पर से विश्वास इधर उठा जा रहा है
मैं आख़िरी बार
उसी अन्याय की बात करना चाहता हूँ
जिसके प्रतिरोध की बात
हम लोग कई वर्षों से सोचते आ रहे हैं।
main apni tulna
giri sikhar se nirantar niche girti
kisi nirjharinai se karna chahta hoon
mujhe uchit hi sankoch hota hai
sarita ka aaveg aur mukhrit svar
main apne liye kahan se launga?
main apni samanata
bhado ke kisi unmatt megh se
karna chahta hoon
mujhe tab bhi sankoch hota hai
dainy maDhe chehre par
mad aur masti ki wo pralyankar mudra
main kaise chipkaunga
kaise kar sakunga
main kisi shiroruh ko kshat vikshat?
main apni barabari
kisi lakshyhin,
ulkapinD se karna chahta hoon
mere angan ka shashvat andhera
tab bhi mujhse vyangy karta hai
paristhiti ke tale daba
vaise main hi akela nahin hoon
aise dusre log bhi hain
jo giroh mein baithkar bhi
giroh ke vyakaran ko nahin jante
apne liye koi giroh nahin bana pate.
hansna mujhe apradh lagta hai
kisi bhayankar khabar ki ashanka
mujhe bechain kiye rahti hai
khatre mein paDe apne logon ki banhon ke ghere
mere liye kabhi chhote nahin paDte
mujhe hamesha yaad rahta hai.
ki annyaye ke virodh se hi
mere apradh ki Diary shuru ho jati hai.
main attayiyon ka sahgami raha hoon
gaanv gaanv, nagar nagar
nirarthak bhatakta raha hoon
samuhik hattya ke beech
bete ke liye khilaune kharidana
meri ekaant vivashta rahi hai.
atmadya ka abhinay karte hue
meri achchhi si akriti
vikrti mein badal gayi hai
main kisi din paid paudhon ki baten
bharpur karna chahta hoon
bhasha par se vishvas idhar utha ja raha hai
main akhiri baar
usi annyaye ki baat karna chahta hoon
jiske pratirodh ki baat
hum log kai varshon se sochte aa rahe hain.
main apni tulna
giri sikhar se nirantar niche girti
kisi nirjharinai se karna chahta hoon
mujhe uchit hi sankoch hota hai
sarita ka aaveg aur mukhrit svar
main apne liye kahan se launga?
main apni samanata
bhado ke kisi unmatt megh se
karna chahta hoon
mujhe tab bhi sankoch hota hai
dainy maDhe chehre par
mad aur masti ki wo pralyankar mudra
main kaise chipkaunga
kaise kar sakunga
main kisi shiroruh ko kshat vikshat?
main apni barabari
kisi lakshyhin,
ulkapinD se karna chahta hoon
mere angan ka shashvat andhera
tab bhi mujhse vyangy karta hai
paristhiti ke tale daba
vaise main hi akela nahin hoon
aise dusre log bhi hain
jo giroh mein baithkar bhi
giroh ke vyakaran ko nahin jante
apne liye koi giroh nahin bana pate.
hansna mujhe apradh lagta hai
kisi bhayankar khabar ki ashanka
mujhe bechain kiye rahti hai
khatre mein paDe apne logon ki banhon ke ghere
mere liye kabhi chhote nahin paDte
mujhe hamesha yaad rahta hai.
ki annyaye ke virodh se hi
mere apradh ki Diary shuru ho jati hai.
main attayiyon ka sahgami raha hoon
gaanv gaanv, nagar nagar
nirarthak bhatakta raha hoon
samuhik hattya ke beech
bete ke liye khilaune kharidana
meri ekaant vivashta rahi hai.
atmadya ka abhinay karte hue
meri achchhi si akriti
vikrti mein badal gayi hai
main kisi din paid paudhon ki baten
bharpur karna chahta hoon
bhasha par se vishvas idhar utha ja raha hai
main akhiri baar
usi annyaye ki baat karna chahta hoon
jiske pratirodh ki baat
hum log kai varshon se sochte aa rahe hain.
स्रोत :
पुस्तक : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 41)
संपादक : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद
रचनाकार : कुलानंद मिश्र
प्रकाशन : पहल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.