अंदर समेटे पूरा का पूरा घर
मैं बिखरी हूँ पूरे घर में
पर यह घर मेरा नहीं है
बरामदे पर खेलते बच्चे मेरे हैं
घर के बाहर लगी नेम-प्लेट मेरे पति की है
मैं धरती नहीं पूरी धरती होती है मेरे अंदर
पर यह नहीं होती मेरे लिए
कहीं कोई घर नहीं होता मेरा
बल्कि मैं होती हूँ स्वयं एक घर
जहाँ रहते हैं लोग निर्लिप्त
गर्भ से लेकर बिस्तर तक के बीच
कई-कई रूपों में...
धरती के इस छोर से उस छोर तक
मुट्ठी भर सवाल लिए मैं
छोड़ती-हाँफती-भागती
तलाश रही हूँ सदियों से निरंतर
अपनी ज़मीन, अपना घर
अपने होने का अर्थ!
andar samete pura ka pura ghar
main bikhri hoon pure ghar mein
par ye ghar mera nahin hai
baramde par khelte bachche mere hain
ghar ke bahar lagi nem plate mere pati ki hai
main dharti nahin puri dharti hoti hai mere andar
par ye nahin hoti mere liye
kahin koi ghar nahin hota mera
balki main hoti hoon swayan ek ghar
jahan rahte hain log nirlipt
garbh se lekar bistar tak ke beech
kai kai rupon mein
dharti ke is chhor se us chhor tak
mutthi bhar sawal liye main
chhoDti hanpti bhagti
talash rahi hoon sadiyon se nirantar
apni zamin, apna ghar
apne hone ka arth!
andar samete pura ka pura ghar
main bikhri hoon pure ghar mein
par ye ghar mera nahin hai
baramde par khelte bachche mere hain
ghar ke bahar lagi nem plate mere pati ki hai
main dharti nahin puri dharti hoti hai mere andar
par ye nahin hoti mere liye
kahin koi ghar nahin hota mera
balki main hoti hoon swayan ek ghar
jahan rahte hain log nirlipt
garbh se lekar bistar tak ke beech
kai kai rupon mein
dharti ke is chhor se us chhor tak
mutthi bhar sawal liye main
chhoDti hanpti bhagti
talash rahi hoon sadiyon se nirantar
apni zamin, apna ghar
apne hone ka arth!
स्रोत :
पुस्तक : नगाड़े की तरह बजते शब्द (पृष्ठ 30)
रचनाकार : निर्मला पुतुल
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.