पानी की पाइपें अब बहुत नीचे हैं शहर के अतीत में घर-घर पानी पहुँचाने वाली पाइपें अब बहुत नीचे हैं पाइपों पर एक के बाद एक सड़कें बनती गई हैं इसलिए वे अब बहुत नीचे हैं उनके ऊपर आजकल पानी देने वाली पाइपें हैं और वे बहुत नीचे हैं उनके ऊपर अधिकांश जगहों पर नई पाइपें हैं लेकिन वे अब बहुत नीचे हैं उनमें पानी नहीं है वे अब बहुत नीचे हैं उनके बारे में यही कहा जाता है कि वे अब बहुत नीचे हैं अब यह एक निराशाजनक कहावत है अतीत की पाइपें फूट गई होंगी भयंकर ज़ंग लगा होगा उनके लोहे में वे अब अखंड नहीं रहीं पता नहीं वे हैं भी या नहीं वे अब बहुत नीचे हैं फ़ायर ब्रिगेड वाले वर्तमान में अतीत की हमेशा पानी देने वाली पाइपें माँगते हैं वे अब बहुत नीचे हैं आग अगर अभी लग जाए जो कभी भी लग सकती है और लगती ही रहती है तो जिन पाइपों के बारे में माना जाता है कि उनमें लगातार पानी आता था वे अब बहुत नीचे हैं
pani ki paipen ab bahut niche hain shahr ke atit mein ghar ghar pani pahunchane wali paipen ab bahut niche hain paipon par ek ke baad ek saDken banti gai hain isliye we ab bahut niche hain unke upar ajkal pani dene wali paipen hain aur we bahut niche hain unke upar adhikansh jaghon par nai paipen hain lekin we ab bahut niche hain unmen pani nahin hai we ab bahut niche hain unke bare mein yahi kaha jata hai ki we ab bahut niche hain ab ye ek nirashajnak kahawat hai atit ki paipen phoot gai hongi bhayankar zang laga hoga unke lohe mein we ab akhanD nahin rahin pata nahin we hain bhi ya nahin we ab bahut niche hain fire brigade wale wartaman mein atit ki hamesha pani dene wali paipen mangte hain we ab bahut niche hain aag agar abhi lag jaye jo kabhi bhi lag sakti hai aur lagti hi rahti hai to jin paipon ke bare mein mana jata hai ki unmen lagatar pani aata tha we ab bahut niche hain

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।