प्राचीन काल में वाराणसी के राजा ब्रह्मदत्त के समय में बोधिसत्व वाणिज्य करके जीविका निर्वाह करते थे। उन दिनों काशी राज्य के एक प्रत्यंत ग्राम में बहुत से सूत्रधर या बढ़ई रहा करते थे। उनमें से पके हुए वालों वाला एक सूत्रधर एक दिन काठ का एक टुकड़ा रँदकर चौरस कर रहा था। इतने में एक मच्छड़ ने उसके माथे पर बैठकर ज़ोर से उसे काटा। सूत्रधर का पुत्र पास ही बैठा हुआ था। उसने पुत्र से कहा—मेरे माथे पर मच्छड़ बैठा हुआ काट रहा है, तुम उसे उड़ा दो। पुत्र ने कहा—आप स्थिर होकर बैठे रहिए। मैं एक ही आघात में मच्छड़ उड़ा देता हूँ। इतने में बोधिसत्व भी वहाँ पहुँचकर उस सूत्रधर के पास जा बैठे। सूत्रधर ने फिर कहा—बेटा, मच्छड़ उड़ा दो। इस पर पुत्र ने तेज़ धारवाली एक कुल्हाड़ी उठाकर यह कहते हुए ज़ोर से उसके सिर पर मारी कि लो मच्छड़ को मार डालता हूँ। उस आघात से वृद्ध का मस्तक फट गया और वह तुरंत मर गया। उस समय बोधिसत्व ने सोचा कि ऐसे हितैषी की अपेक्षा तो बुद्धिमान् शत्रु ही अच्छा है; क्योंकि वह दंड के भय से मनुष्य की हत्या तो नहीं करेगा। इस पर उन्होंने नीचे लिखे आशय की गाथा कही—
बुद्धिमान् शत्रु भी अच्छा है। मूर्ख मित्र किस काम का! इस महामूर्ख पुत्र ने मच्छड़ मारते मारते अपने पिता को मार डाला।
इसके उपरांत बोधिसत्व अपने काम से कहीं और चले गए। सूत्रधर के जाति-भाइयों ने उसका मृतक संस्कार किया।
prachin kaal mein varansi ke raja brahmdatt ke samay mein bodhisatv vanijya karke jivika nirvah karte the. un dinon kashi rajya ke ek pratyant gram mein bahut se sutradhar ya baDhii raha karte the. unmen se pake hue valon vala ek sutradhar ek din kaath ka ek tukDa randakar chauras kar raha tha. itnemen ek machchhaD ne uske mathe par baithkar zor se use kata. sutradhar ka putr paas hi baitha hua tha. usne putrse kaha—mere mathe par machchhaD baitha hua kaat raha hai, tum use uDa do. putr ne kaha—ap sthir hokar baithe rahiye. main ek hi aghat mein machchhaD uDa deta hoon. itne mein bodhisatv bhi vahan pahunchakar us sutradhar ke paas ja baithe. sutradharne phir kaha—beta, machchhaD uDa do. ispar putr ne tez dharvali ek kulhaDi uthakar ye kahte hue zor se uske sir par mari ki lo machchhaD ko maar Dalta hoon. us aghat se vriddh ka mastak phat gaya aur wo turant mar gaya. us samay bodhisatv ne socha ki aise hitaishi ki apeksha to buddhiman shatru hi achchha hai; kyonki wo danD ke bhay se manushya ki hatya to nahin karega. ispar unhonne niche likhe ashay ki gatha kahi—
buddhiman shatru bhi achchha hai. moorkh mitr kis kaam ka! is mahamurkh putr ne machchhaD marte marte apne pita ko maar Dala.
iske upraant bodhisatv apne kaam se kahin aur chale ge. sutradhar ke jati bhaiyon ne uska mritak sanskar kiya.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.