मैं झील हूँ, उकता गई हूँ
अब चाहती हूँ बहना
बौरा गई हूँ
जो भी यहाँ आता है
ख़ामोशियाँ लाता है
सुलझे हुए लोगों से
तंग आ गई हूँ
उसे रोज़ एक लड़की
मुझे जगा रही थी
चुन-चुन के गोल पत्थर
लहरें बना रही थी
कुछ उँगलियाँ उठी
और ख़ामोश हो गई वो
बल खा रही थी मैं
अब ग़श खा गई हूँ
इस चाँद को तो देखो
मुझमें ही झाँकता है
अपने लबों को सीकर
हर रात काटता है
कमबख़्त ने कभी भी
एक बात तक नहीं की
धरती की अंजुली में
घबरा गई हूँ
मैं झील हूँ
पानी का एक सच है
वो सच है बहते जाना
रस्तों को छोड़ देना
रस्ते नए बनाना
चाहा नहीं था मैंने
रोकी गई हूँ मैं
मैं झील हूँ, उकता गई हूँ
mai.n jhiil huu.n, ukta ga.ii huu.n
ab chaahatii huu.n bahna
baura ga.ii huu.n
jo bhii yahaa.n aata hai
KHaamoshiyaa.n laata hai
suljhe hu.e logo.n se
ta.ng a ga.ii huu.n
use roz ek laD़kii
mujhe jaga rahii thii
chun-chun ke gol patthar
lahre.n bana rahii thii
kuchh u.ngliyaa.n uThii
aur KHaamosh ho ga.ii vo
bal kha rahii thii mai.n
ab ghash kha ga.ii huu.n
is chaa.nd ko to dekho
mujhme.n hii jhaa.nkta hai
apne labo.n ko siikar
har raat kaaTata hai
kambaKHt ne kabhii bhii
ek baat tak nahii.n kii
dhartii kii a.njulii me.n
ghabra ga.ii huu.n
mai.n jhiil huu.n
paanii ka ek sach hai
vo sach hai bahte jaana
rasto.n ko chhoD dena
raste na.e banaana
chaaha nahii.n tha mai.nne
rokii ga.ii huu.n mai.n
mai.n jhiil huu.n, ukta ga.ii huu.n
mai.n jhiil huu.n, ukta ga.ii huu.n
ab chaahatii huu.n bahna
baura ga.ii huu.n
jo bhii yahaa.n aata hai
KHaamoshiyaa.n laata hai
suljhe hu.e logo.n se
ta.ng a ga.ii huu.n
use roz ek laD़kii
mujhe jaga rahii thii
chun-chun ke gol patthar
lahre.n bana rahii thii
kuchh u.ngliyaa.n uThii
aur KHaamosh ho ga.ii vo
bal kha rahii thii mai.n
ab ghash kha ga.ii huu.n
is chaa.nd ko to dekho
mujhme.n hii jhaa.nkta hai
apne labo.n ko siikar
har raat kaaTata hai
kambaKHt ne kabhii bhii
ek baat tak nahii.n kii
dhartii kii a.njulii me.n
ghabra ga.ii huu.n
mai.n jhiil huu.n
paanii ka ek sach hai
vo sach hai bahte jaana
rasto.n ko chhoD dena
raste na.e banaana
chaaha nahii.n tha mai.nne
rokii ga.ii huu.n mai.n
mai.n jhiil huu.n, ukta ga.ii huu.n
स्रोत :
पुस्तक : धूप के सिक्के (पृष्ठ 171)
रचनाकार : प्रसून जोशी
प्रकाशन : रूपा पब्लिकेशंस
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.