प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा तीसरी के पाठ्यक्रम में शामिल है।
गर्मियों के दिन थे। सौरभ के चाचाजी ने अपने बग़ीचे के एक टोकरी आम भेजे। आम बहुत मीठे थे। सौरभ को आम बहुत अच्छे लगे। उसने सोचा—ऐसे ही आम में अपने बग़ीचे में लगाऊँगा।
उसने बग़ीचे में एक जगह थोड़ी मिट्टी खोदी। वहाँ आम की एक गुठली डाल दी। गुठली पर मिट्टी डालकर उसने थोड़ा पानी छिड़क दिया। वह प्रतिदिन सुबह वहाँ पानी डालता। कुछ दिन बीत गए। आम का पौधा नहीं निकला। उसने पानी डालना बंद कर दिया।
एक दिन हलकी-हलकी वर्षा हो रही थी। सौरभ घूमता हुआ बग़ीचे में उसी जगह पर जा पहुँचा। सामने ही लाल-लाल कोंपलों वाला नन्हा-सा पौधा लगा था। पौधा देखते ही सौरभ प्रसन्न हो उठा। “पौधा निकल आया, पौधा निकल आया,” कहते-कहते वह अंदर भागा। अपनी छोटी बहन प्रिया का हाथ पकड़कर उसे बग़ीचे में ले आया। पौधा देखकर प्रिया भी ख़ुशी से उछल पड़ी।
सौरभ बोला, “यह पौधा मैंने लगाया है। यह आम का पौधा है। इसमें ख़ूब मीठे आम लगेंगे।” दोनों भागे-भागे पिताजी के पास गए। पिताजी बोले, “क्या बात है? आज तुम दोनों बहुत प्रसन्न हो।” प्रिया बोली, “पिताजी, बग़ीचे में आम का पौधा निकल आया है। अगले वर्ष हम अपने ही पौधे के आम खाएँगे।” उसकी बात सुनकर पिताजी हँसे। वे प्यार से बोले, “छोटे से पौधे को बड़ा होने में बहुत समय लगेगा। चार-पाँच वर्ष में यह एक बड़ा पेड़ बन जाएगा। इसका तना मोटा होगा। बड़ी-बड़ी शाखाएँ होंगी। तब इसमें आम लगेंगे।”
यह सुनकर प्रिया थोड़ी उदास हो गई। पर सौरभ तुरंत बोला, “कोई बात नहीं। हम पौधे की देखभाल करेंगे। एक दिन हम इसके फल अवश्य खाएँगे।”
garmiyon ke din the. saurabh ke chachaji ne apne baghiche ke ek tokari aam bheje. aam bahut mithe the. saurabh ko aam bahut achchhe lage. usne socha—aise hi aam mein apne baghiche mein lagaunga.
usne baghiche mein ek jagah thoDi mitti khodi. vahan aam ki ek guthli Daal di. guthli par mitti Dalkar usne thoDa pani chhiDak diya. wo pratidin subah vahan pani Dalta. kuch din beet ge. aam ka paudha nahin nikla. usne pani Dalna band kar diya.
ek din halki halki varsha ho rahi thi. saurabh ghumta hua baghiche mein usi jagah par ja pahuncha. samne hi laal laal komplon vala nanha sa paudha laga tha. paudha dekhte hi saurabh prasann ho utha. “paudha nikal aaya, paudha nikal aaya,” kahte kahte wo andar bhaga. apni chhoti bahan priya ka haath pakaDkar use baghiche mein le aaya. paudha dekhkar priya bhi khushi se uchhal paDi.
saurabh bola, “yah paudha mainne lagaya hai. ye aam ka paudha hai. ismen khoob mithe aam lagenge. ” donon bhage bhage pitaji ke paas ge. pitaji bole, “kya baat hai? aaj tum donon bahut prasann ho. ” priya boli, “pitaji, baghiche mein aam ka paudha nikal aaya hai. agle varsh hum apne hi paudhe ke aam khayenge. ” uski baat sunkar pitaji hanse. ve pyaar se bole,
“chhote se paudhe ko baDa hone mein bahut samay lagega. chaar paanch varsh mein ye ek baDa peD ban jayega. iska tana mota hoga. baDi baDi shakhayen hongi. tab ismen aam lagenge. ”
ye sunkar priya thoDi udaas ho gai. par saurabh turant bola, “koi baat nahin. hum paudhe ki dekhbhal karenge. ek din hum iske phal avashya khayenge. ”

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.