उड़ गया
मधुपान कर, कोई मधुप
और पहरों
काँपता-सा रह गया
जलजात कोई
सुर्ख़ चेहरे हो गए
जल-कुंभियों के
कान में कहकर गया
कुछ बात, कोई
उड़ गया...
डाकियों के काफ़िले
फिर चल पड़े हैं
गंध-भीनी चिट्ठियाँ
लेकर परों में
गाँव के रिश्ते
सरोवर से जुड़े हैं
लग गई फिर पहुँचने
पुरइन घरों में
हो गया ऐसा असर
फिर जादुई है
कुछ दिनों से
सो न पाई रात कोई
उड़ गया...
बढ़ गई चिंता
सरोवर में बढ़ा जल
गात पुरइन ने बढ़ाया
जल सतह तक
घट गया जल
पर न घट सकता
कमल-कद
अंत तक जूझा हवा से
फिर फ़तह तक
है हमारे संस्कारों का पुरोधा
या सुरभि के सिंधु का
नवजात कोई
उड़ गया...
uD gaya
madhupan kar, koi madhup
aur pahron
kanpta sa rah gaya
jaljat koi
surkh chehre ho ge
jal kumbhiyon ke
kaan mein kahkar gaya
kuch baat, koi
uD gaya. . .
Dakiyon ke kafile
phir chal paDe hain
gandh bhini chitthiyan
lekar paron mein
gaanv ke rishte
sarovar se juDe hain
lag gai phir pahunchne
purin gharon mein
ho gaya aisa asar
phir jadui hai
kuch dinon se
so na pai raat koi
uD gaya. . .
baDh gai chinta
sarovar mein baDha jal
gaat purin ne baDhaya
jal satah tak
ghat gaya jal
par na ghat sakta
kamal kad ant tak jujha hava se
phir fatah tak
hai hamare sanskaron ka purodha
ya surbhi ke sindhu ka
navjat koi
uD gaya. . .
uD gaya
madhupan kar, koi madhup
aur pahron
kanpta sa rah gaya
jaljat koi
surkh chehre ho ge
jal kumbhiyon ke
kaan mein kahkar gaya
kuch baat, koi
uD gaya. . .
Dakiyon ke kafile
phir chal paDe hain
gandh bhini chitthiyan
lekar paron mein
gaanv ke rishte
sarovar se juDe hain
lag gai phir pahunchne
purin gharon mein
ho gaya aisa asar
phir jadui hai
kuch dinon se
so na pai raat koi
uD gaya. . .
baDh gai chinta
sarovar mein baDha jal
gaat purin ne baDhaya
jal satah tak
ghat gaya jal
par na ghat sakta
kamal kad ant tak jujha hava se
phir fatah tak
hai hamare sanskaron ka purodha
ya surbhi ke sindhu ka
navjat koi
uD gaya. . .
स्रोत :
पुस्तक : इतना भी आसान कहाँ है : गीत-नवगीत (पृष्ठ 73)
रचनाकार : जगदीश व्योम
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.